Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHabar kuchh aisi uDai kisi ne ganw mein

Baqi Siddiqui

KHabar kuchh aisi uDai kisi ne ganw mein

Baqi Siddiqui

MORE BYBaqi Siddiqui

    ḳhabar kuchh aisī uḌaa.ī kisī ne gaañv meñ

    udaas phirte haiñ ham bairiyoñ chhāñv meñ

    nazar nazar se nikaltī hai dard Tīseñ

    qadam qadam pe vo kāñTe chubhe haiñ paañv meñ

    har ek samt se uḌ uḌ ke ret aatī hai

    abhī hai zor vahī dasht havāoñ meñ

    ġhamoñ bhiiḌ meñ ummīd vo aalam hai

    ki jaise ek saḳhī ho ka.ī gadāoñ meñ

    abhī hai gosh bar-āvāz ghar sannāTā

    abhī koshish hai baḌī duur sadāoñ meñ

    chale to haiñ kisī aahaT aasrā le kar

    bhaTak na jaa.eñ kahīñ ajnabī fazāoñ meñ

    dhuāñ dhuāñ hai khetoñ chāñdnī 'bāqī'

    ki aag shahr ab aa ga.ī hai gaañv meñ

    KHabar kuchh aisi uDai kisi ne ganw mein

    udas phirte hain hum bairiyon ki chhanw mein

    nazar nazar se nikalti hai dard ki Tisen

    qadam qadam pe wo kanTe chubhe hain panw mein

    har ek samt se uD uD ke ret aati hai

    abhi hai zor wahi dasht ki hawaon mein

    ghamon ki bhiD mein ummid ka wo aalam hai

    ki jaise ek saKHi ho kai gadaon mein

    abhi hai gosh bar-awaz ghar ka sannaTa

    abhi koshish hai baDi dur ki sadaon mein

    chale to hain kisi aahaT ka aasra le kar

    bhaTak na jaen kahin ajnabi fazaon mein

    dhuan dhuan si hai kheton ki chandni 'baqi'

    ki aag shahr ki ab aa gai hai ganw mein

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now