Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHabar kya thi na milne ke nae asbab kar dega

Mohsin Bhopali

KHabar kya thi na milne ke nae asbab kar dega

Mohsin Bhopali

MORE BYMohsin Bhopali

    ḳhabar kyā thī na milne ke na.e asbāb kar degā

    vo kar ke ḳhvāb vaada mujhe be-ḳhvāb kar degā

    kisī din dekhnā vo aa ke merī kisht-e-vīrāñ par

    uchaTtī nazar Dālegā aur shādāb kar degā

    vo apnā haq samajh kar bhuul jā.egā har ik ehsāñ

    phir is rasm-e-anā ko dāḳhil-e-ādāb kar degā

    na karnā zom us tarz-e-istidlāl aisā hai

    ki naqsh-e-sañg ko tahrīr-e-mauj-e-āb kar degā

    asiir apne ḳhayāloñ banā kar ek din 'mohsin'

    ḳhabar kyā thī mujhe mere liye kamyāb kar degā

    KHabar kya thi na milne ke nae asbab kar dega

    wo kar ke KHwab ka wada mujhe be-KHwab kar dega

    kisi din dekhna wo aa ke meri kisht-e-viran par

    uchaTti si nazar Dalega aur shadab kar dega

    wo apna haq samajh kar bhul jaega har ek ehsan

    phir is rasm-e-ana ko daKHil-e-adab kar dega

    na karna zom us ka tarz-e-istidlal aisa hai

    ki naqsh-e-sang ko tahrir-e-mauj-e-ab kar dega

    asir apne KHayalon ka bana kar ek din 'mohsin'

    KHabar kya thi mujhe mere liye kamyab kar dega

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHabar kya thi na milne ke nae asbab kar dega Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now