Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHabar sunega meri maut ki to KHush hoga

Baqar Mehdi

KHabar sunega meri maut ki to KHush hoga

Baqar Mehdi

MORE BYBaqar Mehdi

    ḳhabar sunegā mirī maut to ḳhush hogā

    ki ab to ke divāne ko chain aa.egā

    mileñge mujh se kahīñ achchhe jāñ-nisār tujhe

    magar kabhī to mirā zikr aa jā.egā

    na aisā ho magar aisā huā to kyā hogā

    sukūñ talāsh karegā kahīñ na pā.egā

    ajiib daur hai kuchh bhī yahāñ pe mumkin hai

    jo yaad rakhnā bhī chāhā to bhuul jā.egā

    zamāna guzregā TūTeñge saikḌoñ rishte

    phir ek shaḳhs fasāna mirā sunā.egā

    koī hañsegā divāne zindagī pe magar

    kisī aañkh meñ ik ashk aa jā.egā

    na dostoñ shikāyat na dushmanoñ gilā

    ye sochtā huuñ kise kaun ab manā.egā

    KHabar sunega meri maut ki to KHush hoga

    ki ab to ja ke diwane ko chain aaega

    milenge mujh se kahin achchhe jaan-nisar tujhe

    magar kabhi to mera zikr aa hi jaega

    na aisa ho magar aisa hua to kya hoga

    sukun talash karega kahin na paega

    ajib daur hai kuchh bhi yahan pe mumkin hai

    jo yaad rakhna bhi chaha to bhul jaega

    zamana guzrega TuTenge saikDon rishte

    phir ek shaKHs fasana mera sunaega

    koi hansega diwane ki zindagi pe magar

    kisi ki aankh mein ek ashk aa hi jaega

    na doston ki shikayat na dushmanon ka gila

    ye sochta hun kise kaun ab manaega

    Source:

    shahr-e-aarzu(rekhta website) (Pg. 77)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now