Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHair laya to junun diwar se dar ki taraf

Nayyar Sultanpuri

KHair laya to junun diwar se dar ki taraf

Nayyar Sultanpuri

MORE BYNayyar Sultanpuri

    ḳhair laayā to junūñ dīvār se dar taraf

    ab nazar jaane lagī bāhar se andar taraf

    kashtī-e-ummīd ke har bādbāñ uḌne lage

    kis ne ruḳh moḌā havāoñ samundar taraf

    yuuñ bhī hotā hai madārāt-e-junūñ ke shauq meñ

    phuul jaise haath uTh jaate haiñ patthar taraf

    ham ne samjhe the ki ye hogā ma.āl-e-kār-e-ishq

    ruḳh kiyā bād-e-bahārī ne mire ghar taraf

    hai 'nayyar' mujh ko saaqī ne ye kaisī ḳhaas mai

    sab nazreñ uTh rahī haiñ mere sāġhar taraf

    KHair laya to junun diwar se dar ki taraf

    ab nazar jaane lagi bahar se andar ki taraf

    kashti-e-ummid ke har baadban uDne lage

    kis ne ruKH moDa hawaon ka samundar ki taraf

    yun bhi hota hai madaraat-e-junun ke shauq mein

    phul jaise hath uTh jate hain patthar ki taraf

    hum ne samjhe the ki ye hoga maal-e-kar-e-ishq

    ruKH kiya baad-e-bahaari ne mere ghar ki taraf

    di hai 'nayyar' mujh ko saqi ne ye kaisi KHas mai

    sab ki nazren uTh rahi hain mere saghar ki taraf

    Source:

    reza-e-miinaa (Pg. 50)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now