aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHair mangi jo aashiyane ki

Naushad Ali

KHair mangi jo aashiyane ki

Naushad Ali

MORE BYNaushad Ali

    ḳhair māñgī jo āshiyāne

    āñdhiyāñ hañs paḌīñ zamāne

    mere ġham ko samajh sakā na koī

    mujh ko aadat hai muskurāne

    dil ghar Dhā diyā to kis muñh se

    baat karte ho ghar basāne

    husn baat ishq ke qisse

    baat karte ho kis zamāne

    dil qaabū meñ ab nahīñ merā

    ye qayāmat tirī adā ne

    kuchh to tūfāñ zad meñ ham aa.e

    kuchh navāzish bhī nā-ḳhudā ne

    mujh ko tum yaad aur bhī aa.e

    koshisheñ jitnī bhulāne

    vo 'naushād' fan shaidā.ī

    baat karte ho kis divāne

    KHair mangi jo aashiyane ki

    aandhiyan hans paDin zamane ki

    mere gham ko samajh saka na koi

    mujh ko aadat hai muskurane ki

    dil sa ghar Dha diya to kis munh se

    baat karte ho ghar basane ki

    husn ki baat ishq ke qisse

    baat karte ho kis zamane ki

    dil hi qabu mein ab nahin mera

    ye qayamat teri ada ne ki

    kuchh to tufan ki zad mein hum aae

    kuchh nawazish bhi na-KHuda ne ki

    mujh ko tum yaad aur bhi aae

    koshishen jitni ki bhulane ki

    wo hi 'naushad' fan ka shaidai

    baat karte ho kis diwane ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now