Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHair ummat hain mohabbat hain wafa pyar hain hum

Kaukab Zaki

KHair ummat hain mohabbat hain wafa pyar hain hum

Kaukab Zaki

MORE BYKaukab Zaki

    ḳhair ummat haiñ mohabbat haiñ vafā pyaar haiñ ham

    amn-e-ālam ke zamāne meñ alam-dār haiñ ham

    kyuuñ hameñ log samajhte haiñ ki ġhaddār haiñ ham

    roz-e-avval se vatan tere vafādār haiñ ham

    jañg-e-āzādī meñ ham ne bhī kiyā ḳhud ko nisār

    jaan dene ke liye aaj bhī tayyār haiñ ham

    buġhz-o-kīne se kudūrat se hai nafrat ham ko

    āshtī-amn-o-mohabbat ke parastār haiñ ham

    koī ġham-ḳhvār na monis hai zamāne bhar meñ

    ek muddat se musībat meñ giraftār haiñ ham

    rabb-e-ālam hai faqat ek sahārā terā

    varna duniyā meñ to be-yār-o-madadgār haiñ ham

    koī baḌh kar hameñ siine se lagā le ai 'zakī'

    tañg-nazarī se adāvat se to bezār haiñ ham

    KHair ummat hain mohabbat hain wafa pyar hain hum

    amn-e-alam ke zamane mein alam-dar hain hum

    kyun hamein log samajhte hain ki ghaddar hain hum

    roz-e-awwal se watan tere wafadar hain hum

    jang-e-azadi mein hum ne bhi kiya KHud ko nisar

    jaan dene ke liye aaj bhi tayyar hain hum

    bughz-o-kine se kudurat se hai nafrat hum ko

    aashti-amn-o-mohabbat ke parastar hain hum

    koi gham-KHwar na monis hai zamane bhar mein

    ek muddat se musibat mein giraftar hain hum

    rabb-e-alam hai faqat ek sahaara tera

    warna duniya mein to be-yar-o-madadgar hain hum

    koi baDh kar hamein sine se laga le ai 'zaki'

    tang-nazari se adawat se to bezar hain hum

    Source:

    ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 72)

    • Author: کوکب ذکی
      • Publisher: وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now