Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHala ki manzil-e-payab ka pata bhi main

Rafiq Khawar Jaskani

KHala ki manzil-e-payab ka pata bhi main

Rafiq Khawar Jaskani

MORE BYRafiq Khawar Jaskani

    ḳhalā manzil-e-pāyāb patā bhī maiñ

    aur apne aap meñ ik be-karāñ ḳhalā bhī maiñ

    fazā ke siine meñ betāb shorisheñ mujh se

    dil-e-vajūd ik āh-e-nā-rasā bhī maiñ

    maiñ apnī shāḳh-e-ḳhamīda barg-e-shorīda

    shajar jism bhī maiñ jism se judā bhī maiñ

    tire vajūd ke idrāk tak pahuñchtī huī

    yaqīñ guuñj bhī maiñ vahm havā bhī maiñ

    mujhī se fikr-o-nazar ke sanam-kade raushan

    aur apne aap ko ab tak na sakā bhī maiñ

    jamāl-e-sub.h-e-sukūñ shām-e-iztirāb rañg

    sukūt-e-zard bhī maiñ surḳhī-e-sadā bhī maiñ

    varā-e-fahm hai mere tazād aalam

    ki nok-e-ḳhār bhī maiñ aur barahna-pā bhī maiñ

    mire sitam ḳharāsheñ mire chehre par

    avadh shaam bhī maiñ aur hiroshima bhī maiñ

    mire junūñ ke karishme mirī riyā ke tilism

    ki vietnam bhī maiñ aur geneva bhī maiñ

    ba-qaul-e-shā.ir-e-mashriq maiñ apnā qātil-e-jāñ

    havā-e-tund bhī maiñ barg-e-be-navā bhī maiñ

    zavāl-e-ādam-e-ḳhākī ibtidā mujh se

    aur us azmat-e-paiham irtiqā bhī maiñ

    mujhī ko chhū na sakī 'darwin' hadd-e-gumāñ

    aur aaj ḳhalvat-e-mahtāb tak rasā bhī maiñ

    mujhe to jaise vo an-dekhā rāstā na lagā

    ḳhalā ke jāda-e-mānūs par chalā bhī maiñ

    fanā mauj mirī ruuh ke makāñ se ḳhajil

    asīr-e-vaqt bhī maiñ vaqt se varā bhī maiñ

    hisār-e-jism ke dīvār-o-bām meñ mahbūs

    hudūn-e-kaun-o-makāñ se guzar gayā bhī maiñ

    gadā-e-nutq bhī maiñ ḳhāliq-e-azal ke huzūr

    aur apne dard āvāz ḳhudā bhī maiñ

    mire sharāra-e-fan se hai raushnī har

    aur apne sho.ala-e-ehsās meñ jalā bhī maiñ

    zabān-e-harf sehr-āfrīniyāñ mujh se

    lab-e-ḳhayāl taqrīr-e-be-sadā bhī maiñ

    maiñ us soch ik shāhkār bhī 'ḳhāvar'

    aur us ke shauq dilchasp hadisā bhī maiñ

    KHala ki manzil-e-payab ka pata bhi main

    aur apne aap mein ek be-karan KHala bhi main

    faza ke sine mein betab shorishen mujh se

    dil-e-wajud ki ek aah-e-na-rasa bhi main

    main apni shaKH-e-KHamida ka barg-e-shorida

    shajar ka jism bhi main jism se juda bhi main

    tere wajud ke idrak tak pahunchti hui

    yaqin ki gunj bhi main wahm ki hawa bhi main

    mujhi se fikr-o-nazar ke sanam-kade raushan

    aur apne aap ko ab tak na pa saka bhi main

    jamal-e-subh-e-sukun sham-e-iztirab ka rang

    sukut-e-zard bhi main surKHi-e-sada bhi main

    wara-e-fahm hai mere tazad ka aalam

    ki nok-e-KHar bhi main aur barahna-pa bhi main

    mere sitam ki KHarashen mere hi chehre par

    awadh ki sham bhi main aur hiroshima bhi main

    mere junun ke karishme meri riya ke tilism

    ki wietnam bhi main aur genewa bhi main

    ba-qaul-e-shair-e-mashriq main apna qatil-e-jaan

    hawa-e-tund bhi main barg-e-be-nawa bhi main

    zawal-e-adam-e-KHaki ki ibtida mujh se

    aur us ki azmat-e-paiham ka irtiqa bhi main

    mujhi ko chhu na saki 'darwin' ki hadd-e-guman

    aur aaj KHalwat-e-mahtab tak rasa bhi main

    mujhe to jaise wo an-dekha rasta na laga

    KHala ke jada-e-manus par chala bhi main

    fana ki mauj meri ruh ke makan se KHajil

    asir-e-waqt bhi main waqt se wara bhi main

    hisar-e-jism ke diwar-o-baam mein mahbus

    hudun-e-kaun-o-makan se guzar gaya bhi main

    gada-e-nutq bhi main KHaliq-e-azal ke huzur

    aur apne dard ki aawaz ka KHuda bhi main

    mere sharara-e-fan se hai raushni har su

    aur apne shoala-e-ehsas mein jala bhi main

    zaban-e-harf ki sehr-afriniyan mujh se

    lab-e-KHayal ki taqrir-e-be-sada bhi main

    main us ki soch ka ek shahkar bhi 'KHawar'

    aur us ke shauq ka dilchasp hadisa bhi main

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 436)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now