Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHala mein tair raha hai sawal duniya ka

Khursheed Akbar

KHala mein tair raha hai sawal duniya ka

Khursheed Akbar

MORE BYKhursheed Akbar

    ḳhalā meñ tair rahā hai savāl duniyā

    ḳhudā ko aa.egā kis din ḳhayāl duniyā

    ye aur baat ki jannat yaqīñ se aage thī

    vahāñ bhī saath gayā ehtimāl duniyā

    hamāre nāma-e-a.amāl meñ likhā us ne

    urūj-e-ādam-e-ḳhākī zavāl duniyā

    ye vāqi.a hai ki insān mar gayā pahle

    phir is ke ba.ad huā intiqāl duniyā

    koī ḳhabar nahīñ kis vaqt aur kahāñ gir jaa.e

    ḳhudā ke haath se jām-e-sifāl duniyā

    hazār mail ko dhoyā hazār sābun se

    kisī tarah bhī na chhūTā ḳhayāl duniyā

    ajiib rañg piñjra hai āsmāñ nīche

    tilism-e-ġhaib hai 'ḳhurshīd' haal duniyā

    KHala mein tair raha hai sawal duniya ka

    KHuda ko aaega kis din KHayal duniya ka

    ye aur baat ki jannat yaqin se aage thi

    wahan bhi sath gaya ehtimal duniya ka

    hamare nama-e-amal mein likha us ne

    uruj-e-adam-e-KHaki zawal duniya ka

    ye waqia hai ki insan mar gaya pahle

    phir is ke baad hua intiqal duniya ka

    koi KHabar nahin kis waqt aur kahan gir jae

    KHuda ke hath se jam-e-sifal duniya ka

    hazar mail ko dhoya hazar sabun se

    kisi tarah bhi na chhuTa KHayal duniya ka

    ajib rang ka pinjra hai aasman niche

    tilism-e-ghaib hai 'KHurshid' haal duniya ka

    Source:

    Sehmaahi Aamad (Pg. 130)

    • Author: Azeema Firdausi
      • Edition: Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013
      • Publisher: Arzoo Manzil, Sheesh Mahal Colony, Alamganj, Patna
      • Year of Publication: Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now