KHamosh rah kar bhi sab batana
ḳhamosh rah kar bhī sab batānā
maiñ jab na pūchhūñgā tab batānā
maiñ likhne baiThā to ḳhud se bolā
likho vahī jo hai ḳhud se jaanā
ai mere siine meñ baiThe daldal
nahīñ tū patthar hai maiñ ne jaanā
hai zulmatoñ se bharā ye mausam
hai saarī duniyā ko bas kamānā
baḌī mashaqqat se paayā huuñ maiñ
jo paas hai mere tānā-bānā
havā.eñ jhakjhortī haiñ jab bhī
hai merī 'ādat meñ gungunānā
tire binā maañ maiñ kuchh nahīñ huuñ
tirī du'ā hai mirā ḳhazānā
tū yuuñ chamaktā rahegā 'sāqib'
kabhī na bhūlā jo ghar kā daanā
KHamosh rah kar bhi sab batana
main jab na puchhunga tab batana
main likhne baiTha to KHud se bola
likho wahi jo hai KHud se jaana
ai mere sine mein baiThe daldal
nahin tu patthar hai main ne jaana
hai zulmaton se bhara ye mausam
hai sari duniya ko bas kamana
baDi mashaqqat se paya hun main
jo pas hai mere tana-bana
hawaen jhakjhorti hain jab bhi
hai meri 'adat mein gungunana
tere bina man main kuchh nahin hun
teri du'a hai mera KHazana
tu yun chamakta rahega 'saqib'
kabhi na bhula jo ghar ka dana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.