Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamoshi bhi zaban-e-muddaa malum hoti hai

Azmat Bhopali

KHamoshi bhi zaban-e-muddaa malum hoti hai

Azmat Bhopali

MORE BYAzmat Bhopali

    ḳhamoshī bhī zabān-e-mudda.ā ma.alūm hotī hai

    mohabbat iltijā iltijā ma.alūm hotī hai

    maiñ apne ḳhūn-e-nāhaq ab un se daad kyā chāhūñ

    nazar un nadāmat-āshnā ma.alūm hotī hai

    mujhe to apnī barbādī shikva hai muqaddar se

    ye maiñ ne kab kahā un ḳhatā ma.alūm hotī hai

    mujhe barbād ġham ho kar tire dar tak pahuñchnā hai

    ye barbādī mirī ḳhud rahnumā ma.alūm hotī hai

    javānī aur be-parvā ḳhirāmī ai ma.āz-allāh

    qayāmat hai qayāmat zer-e-pā ma.alūm hotī hai

    alag hai sab se andāz-e-junūñ merī mohabbat

    mirī vahshat zamāne se judā ma.alūm hotī hai

    mirī har baat 'azmat' tarjumān-e-ahl-e-ālam hai

    ye duniyā mujh ko merī ham-navā ma.alūm hotī hai

    KHamoshi bhi zaban-e-muddaa malum hoti hai

    mohabbat iltija hi iltija malum hoti hai

    main apne KHun-e-nahaq ki ab un se dad kya chahun

    nazar un ki nadamat-ashna malum hoti hai

    mujhe to apni barbaadi ka shikwa hai muqaddar se

    ye main ne kab kaha un ki KHata malum hoti hai

    mujhe barbaad gham ho kar tere dar tak pahunchna hai

    ye barbaadi meri KHud rahnuma malum hoti hai

    jawani aur be-parwa KHirami ai maaz-allah

    qayamat hai qayamat zer-e-pa malum hoti hai

    alag hai sab se andaz-e-junun meri mohabbat ka

    meri wahshat zamane se juda malum hoti hai

    meri har baat 'azmat' tarjuman-e-ahl-e-alam hai

    ye duniya mujh ko meri ham-nawa malum hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now