Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamoshi guftugu hai be-zabani hai zaban uski

Imtiyaz Ahmad Qamar

KHamoshi guftugu hai be-zabani hai zaban uski

Imtiyaz Ahmad Qamar

MORE BYImtiyaz Ahmad Qamar

    ḳhamoshī guftugū hai be-zabānī hai zabāñ us

    maiñ samjhā thā ki mujh se muḳhtalif hai dāstāñ us

    mire har samt phailī chāñdnī hai hisār us

    mirā ehsās hai raqs meñ parchhā.iyāñ us

    maiñ ḳhud ko jaise apne paas mahsūs kartā huuñ

    mire alfāz meñ ras gholtī haiñ shoḳhiyāñ us

    kahāñ merī tarah sab ko milā zaḳhmoñ pairāhan

    yuuñ kahne ko to sab par hai nigāh-e-mehrbāñ us

    shikast-e-shīsha-e-dil sadā pahroñ sunā.ī de

    agar ik baar uTh jaa.e nigāh-e-mehrbāñ us

    saverā ho gayā shāyad rihā.ī mil ga.ī us ko

    dar-e-zindāñ pe koī rakh gayā hai beḌiyāñ us

    hare mausam meñ manzar be-libāsī kahāñ mumkin

    magar turfa hunar ye jāntī haiñ āñdhiyāñ us

    KHamoshi guftugu hai be-zabani hai zaban us ki

    main samjha tha ki mujh se muKHtalif hai dastan us ki

    mere har samt phaili chandni hai ya hisar us ka

    mera ehsas hai ya raqs mein parchhaiyan us ki

    main KHud ko jaise apne pas hi mahsus karta hun

    mere alfaz mein ras gholti hain shoKHiyan us ki

    kahan meri tarah sab ko mila zaKHmon ka pairahan

    yun kahne ko to sab par hai nigah-e-mehrban us ki

    shikast-e-shisha-e-dil ki sada pahron sunai de

    agar ek bar uTh jae nigah-e-mehrban us ki

    sawera ho gaya shayad rihai mil gai us ko

    dar-e-zindan pe koi rakh gaya hai beDiyan us ki

    hare mausam mein manzar be-libasi ka kahan mumkin

    magar turfa hunar ye jaanti hain aandhiyan us ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now