KHanjar-ba-dast hai na jahan sar-ba-kaf koi
ḳhanjar-ba-dast hai na jahāñ sar-ba-kaf koī
āsār-e-zindagī ke nahīñ us taraf koī
aapas kī kashmakash meñ idhar mubtalā ho tum
maidān-e-zindagī meñ udhar saf-ba-saf koī
ahl-e-havas ne yaad kiyā hai use bahut
jab sāhib-e-zamīr huā hai talaf koī
'izzat har ek siip kī qismat meñ hai kahāñ
hotā hai sarfarāz dahān-e-sadaf koī
dil meñ nahīñ hai jis kā koī pās-o-ehtirām
le kar usī kā naam uThā.e halaf koī
Thukrā ke motiyoñ ko javāhir ko chhoḌ kar
dāman meñ bhar ke le gayā ḳhisht-o-ḳhazaf koī
parvāz apnī apnī nazar kī judā judā
shā.ista-e-salaf koī nang-e-salaf koī
ham vārisān-e-lauh-o-qalam ko bhī ho 'atā
yā-rab jihād-e-harf-o-qalam kā sharaf koī
qātil hai terā tarz-e-taḳhātub bhī ai 'azīz'
rū-e-suḳhan kisī kī taraf hai hadaf koī
KHanjar-ba-dast hai na jahan sar-ba-kaf koi
aasar-e-zindagi ke nahin us taraf koi
aapas ki kashmakash mein idhar mubtala ho tum
maidan-e-zindagi mein udhar saf-ba-saf koi
ahl-e-hawas ne yaad kiya hai use bahut
jab sahib-e-zamir hua hai talaf koi
'izzat har ek sip ki qismat mein hai kahan
hota hai sarfaraaz dahan-e-sadaf koi
dil mein nahin hai jis ka koi pas-o-ehtiram
le kar usi ka nam uThae halaf koi
Thukra ke motiyon ko jawahir ko chhoD kar
daman mein bhar ke le gaya KHisht-o-KHazaf koi
parwaz apni apni nazar ki juda juda
shaista-e-salaf koi nang-e-salaf koi
hum warisan-e-lauh-o-qalam ko bhi ho 'ata
ya-rab jihad-e-harf-o-qalam ka sharaf koi
qatil hai tera tarz-e-taKHatub bhi ai 'aziz'
ru-e-suKHan kisi ki taraf hai hadaf koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.