Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHarabe mein mohabbat ka guzar hai ki nahin

Syed Manzar Hasan Desnavi

KHarabe mein mohabbat ka guzar hai ki nahin

Syed Manzar Hasan Desnavi

MORE BYSyed Manzar Hasan Desnavi

    ḳharābe meñ mohabbat guzar hai ki nahīñ

    ḳhair duniyā meñ ba-andāza-e-shar hai ki nahīñ

    dekhiye aañkh mirī aaj bhī tar hai ki nahīñ

    dil-e-mahzūñ pe mohabbat asar hai ki nahīñ

    manzileñ aur bhī haiñ manzil-e-ulfat ke sivā

    merī āshufta-mizājī ko ḳhabar hai ki nahīñ

    ab to arbāb-e-junūñ ke liye sahrā nahīñ

    vaj.h-e-taskīn tirī rāh-guzar hai ki nahīñ

    nigah-e-nāz ke fitnoñ se ḳhayāl aatā hai

    kabhī paiġhām-rasāñ un nazar hai ki nahīñ

    bā-hama jaur-o-jafā zinda hai 'manzar' ab tak

    ab bhī qā.il-e-e.ajāz-e-bashar hai ki nahīñ

    KHarabe mein mohabbat ka guzar hai ki nahin

    KHair duniya mein ba-andaza-e-shar hai ki nahin

    dekhiye aankh meri aaj bhi tar hai ki nahin

    dil-e-mahzun pe mohabbat ka asar hai ki nahin

    manzilen aur bhi hain manzil-e-ulfat ke siwa

    meri aashufta-mizaji ko KHabar hai ki nahin

    ab to arbab-e-junun ke liye sahra hi nahin

    wajh-e-taskin teri rah-guzar hai ki nahin

    nigah-e-naz ke fitnon se KHayal aata hai

    kabhi paigham-rasan un ki nazar hai ki nahin

    ba-hama jaur-o-jafa zinda hai 'manzar' ab tak

    ab bhi tu qail-e-eajaz-e-bashar hai ki nahin

    Source:

    Yaadon Ki Dehleez (Pg. 107)

    • Author: Syed Manzar Hasan Desnavi
      • Publisher: Adshot Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now