KHat adhure the magar wo chiTThiyan achchhi lagin

Pramod Pundhir Pyaasa

KHat adhure the magar wo chiTThiyan achchhi lagin

Pramod Pundhir Pyaasa

MORE BYPramod Pundhir Pyaasa

  ḳhat adhūre the magar vo chiTThiyāñ achchhī lagīñ

  kāġhazoñ se sahī nazdīkiyāñ achchhī lagīñ

  zikr meñ bhī naam un ham na le paa.e kabhī

  pyaar meñ in bandishoñ chuppiyāñ achchhī lagīñ

  raat bhī ḳhāmosh thī aur chāñd bhī ġhamgīn thā

  aañkh meñ Dore liye vo surḳhiyāñ achchhī lagīñ

  chaak ḳhud ho ga.ī is baaġh ke baam par

  uf talak kar sakīñ jo titliyāñ achchhī lagīñ

  phuul shāḳhoñ par palak nam os se karte rahe

  par hameñ to ḳhaar vo barchhiyāñ achchhī lagīñ

  āsmāñ ne dhuup jab gungunā.ī hai ġhazal

  vo hameñ nūr-e-sahar sardiyāñ achchhī lagīñ

  pattharoñ meñ bāñdh kar ke pheñknā chhat par mirī

  raat meñ aatī huī vo parchiyāñ achchhī lagīñ

  KHat adhure the magar wo chiTThiyan achchhi lagin

  kaghazon se hi sahi nazdikiyan achchhi lagin

  zikr mein bhi nam un ka hum na le pae kabhi

  pyar mein in bandishon ki chuppiyan achchhi lagin

  raat bhi KHamosh thi aur chand bhi ghamgin tha

  aankh mein Dore liye wo surKHiyan achchhi lagin

  chaak KHud hi ho gai is bagh ke hi baam par

  uf talak na kar sakin jo titliyan achchhi lagin

  phul shaKHon par palak nam os se karte rahe

  par hamein to KHar ki wo barchhiyan achchhi lagin

  aasman ne dhup ki jab gungunai hai ghazal

  wo hamein nur-e-sahar ki sardiyan achchhi lagin

  pattharon mein bandh kar ke phenkna chhat par meri

  raat mein aati hui wo parchiyan achchhi lagin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY