KHat baDha kakul baDhe zulfen baDhin gesu baDhe
KHat baDha kakul baDhe zulfen baDhin gesu baDhe
Shaikh Ibrahim Zauq
MORE BYShaikh Ibrahim Zauq
ḳhat baḌhā kākul baḌhe zulfeñ baḌhīñ gesū baḌhe
husn kī sarkār meñ jitne baḌhe hindū baḌhe
baa'd ranjish ke gale milte hue ruktā hai jī
ab munāsib hai yahī kuchh maiñ baḌhūñ kuchh tū baḌhe
baḌhte baḌhte baḌh ga.ī vahshat vagarna pahle to
haath ke nāḳhun baḌhe sar ke hamāre mū baḌhe
tujh ko dushman vaañ sharārat se jo bhaḌkāte hai roz
chāhte haiñ aur shar ai shoḳh-e-ātish-e-ḳhū baḌhe
kuchh tap-e-ġham ko ghaTā kyā fā.eda is se tabīb
roz nusḳhe meñ agar ḳhurfa ghaTe kaahū baḌhe
peshvā.ī ko ġham-e-jānāñ kī chashm-e-dil se 'zauq'
jab baḌhe naale to us se beshtar aañsū baḌhe
KHat baDha kakul baDhe zulfen baDhin gesu baDhe
husn ki sarkar mein jitne baDhe hindu baDhe
ba'd ranjish ke gale milte hue rukta hai ji
ab munasib hai yahi kuchh main baDhun kuchh tu baDhe
baDhte baDhte baDh gai wahshat wagarna pahle to
hath ke naKHun baDhe sar ke hamare mu baDhe
tujh ko dushman wan shararat se jo bhaDkate hai roz
chahte hain aur shar ai shoKH-e-atish-e-KHu baDhe
kuchh tap-e-gham ko ghaTa kya faeda is se tabib
roz nusKHe mein agar KHurfa ghaTe kahu baDhe
peshwai ko gham-e-jaanan ki chashm-e-dil se 'zauq'
jab baDhe nale to us se beshtar aansu baDhe
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 28)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.