Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHat mein usko kaise likkhen kya pana kya khona hai

Shahzad Ahmad

KHat mein usko kaise likkhen kya pana kya khona hai

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    ḳhat meñ us ko kaise likkheñ kyā paanā kyā khonā hai

    duurī meñ to ho nahīñ saktā jo aapas meñ honā hai

    niiñd panchhī aa pahuñchā hai vahshī dil baat na sun

    mil bhī ga.e to āḳhir thak kar gahrī niiñd sonā hai

    vo aayā to saare mausam badle badle lagte haiñ

    kāñToñ sej bichhī thī phūloñ bichhaunā hai

    abhī to ḳhushk bahut hai mausam bārish ho to socheñge

    ham ne apne armānoñ ko kis miTTī meñ bonā hai

    ham ko nasīhat karne vaale ḳhud bhī yahī kuchh karte haiñ

    tum kyā qisse le baiThe ho ye umroñ ronā hai

    kāñch guḌiyāñ taaq meñ kab tak aap sajā.e rakkheñge

    aaj nahīñ to kal TūTegā jis naam khilaunā hai

    baḌe baḌe da.ave haiñ lekin chhoTe chhoTe qad 'shahzād'

    phāñknī hai kuchh ḳhaak un ko kuchh paanī unheñ bilonā hai

    KHat mein us ko kaise likkhen kya pana kya khona hai

    duri mein to ho nahin sakta jo aapas mein hona hai

    nind ka panchhi aa pahuncha hai wahshi dil ki baat na sun

    mil bhi gae to aaKHir thak kar gahri nind hi sona hai

    wo aaya to sare mausam badle badle lagte hain

    ya kanTon ki sej bichhi thi ya phulon ka bichhauna hai

    abhi to KHushk bahut hai mausam barish ho to sochenge

    hum ne apne armanon ko kis miTTi mein bona hai

    hum ko nasihat karne wale KHud bhi yahi kuchh karte hain

    tum kya qisse le baiThe ho ye umron ka rona hai

    kanch ki guDiyan taq mein kab tak aap sajae rakkhenge

    aaj nahin to kal TuTega jis ka nam khilauna hai

    baDe baDe dawe hain lekin chhoTe chhoTe qad 'shahzad'

    phankni hai kuchh KHak un ko kuchh pani unhen bilona hai

    Source:

    Auraaq (Pg. 188)

    • Author: Vazeer Agha
      • Edition: Nov. Dec. 1974
      • Publisher: Office auraq. chouck Urdu Bazar, Lahore
      • Year of Publication: Nov. Dec. 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now