Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHatm hai baadal ki jab se saebani dhup mein

Chandni Pandey

KHatm hai baadal ki jab se saebani dhup mein

Chandni Pandey

MORE BYChandni Pandey

    ḳhatm hai bādal jab se sā.ebānī dhuup meñ

    aag hotī rahī hai zindagānī dhuup meñ

    chāñd āġhosh meñ hone se jis hai vajūd

    khil sakegī kyā bhalā vo rāt-rānī dhuup meñ

    us furqat tapish meñ maiñ jhulas kar rah ga.ī

    varna itnī taab kab thī āsmānī dhuup meñ

    kuchh chamaktā nazar aane lagā hai ret meñ

    baḌh rahī hai mere qadmoñ ravānī dhuup meñ

    ek saaya saath mere ham-safar ban kar mirā

    likh rahā hai phir koī taaza kahānī dhuup meñ

    KHatm hai baadal ki jab se saebani dhup mein

    aag hoti ja rahi hai zindagani dhup mein

    chand ki aaghosh mein hone se jis ka hai wajud

    khil sakegi kya bhala wo raat-rani dhup mein

    us ki furqat ki tapish mein main jhulas kar rah gai

    warna itni tab kab thi aasmani dhup mein

    kuchh chamakta sa nazar aane laga hai ret mein

    baDh rahi hai mere qadmon ki rawani dhup mein

    ek saya sath mere ham-safar ban kar mera

    likh raha hai phir koi taza kahani dhup mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now