Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHauf-e-zulmat se larazti hai faza ab ke baras

Abul Khair Nashtar

KHauf-e-zulmat se larazti hai faza ab ke baras

Abul Khair Nashtar

MORE BYAbul Khair Nashtar

    ḳhauf-e-zulmat se laraztī hai fazā ab ke baras

    zahr meñ Duub ga.ī bād-e-sabā ab ke baras

    chain saḌkoñ pe mayassar na sukūñ hai ghar meñ

    is tarah phailī hai dahshat vabā ab ke baras

    dil āñkhoñ ne haqā.eq se churā liiñ nazreñ

    oḌh fikr ne barfīlī ridā ab ke baras

    paañv meñ Daal zanjīr havā-e-shab ne

    phir bhī āzād hai mausam anā ab ke baras

    maiñ bhī guzrā huuñ junūñ-ḳhez marāhil se magar

    phaaḌ kar pheñk vahshat qabā ab ke baras

    kaise aa.egā yahāñ koī parinda 'nashtar'

    karb-angez hai maujoñ sadā ab ke baras

    KHauf-e-zulmat se larazti hai faza ab ke baras

    zahr mein Dub gai baad-e-saba ab ke baras

    chain saDkon pe mayassar na sukun hai ghar mein

    is tarah phaili hai dahshat ki waba ab ke baras

    dil ki aankhon ne haqaeq se chura lin nazren

    oDh li fikr ne barfili rida ab ke baras

    panw mein Dal di zanjir hawa-e-shab ne

    phir bhi aazad hai mausam ki ana ab ke baras

    main bhi guzra hun junun-KHez marahil se magar

    phaD kar phenk di wahshat ki qaba ab ke baras

    kaise aaega yahan koi parinda 'nashtar'

    karb-angez hai maujon ki sada ab ke baras

    Source:

    Lafz Lafz Aaeena (Pg. 54)

    • Author: Abul Khair Nashtar
      • Publisher: Abul Khair Nashtar
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now