aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHauf se ab yun na apne ghar ka darwaza laga

Shahid Meer

KHauf se ab yun na apne ghar ka darwaza laga

Shahid Meer

MORE BYShahid Meer

    ḳhauf se ab yuuñ na apne ghar darvāza lagā

    tez haiñ kitnī havā.eñ is andāza lagā

    ḳhushk thā mausam magar barsī ghaTā jab yaad

    dil murjhāyā huā ġhuncha tar-o-tāza lagā

    raushnī kar ga.ī qurbat kisī ke jism

    ruuh meñ khultā huā mashriq darvāza lagā

    ye añdherī raat benām-o-nishāñ kar jā.egī

    apne chehre par sunahrī dhuup ġhāza lagā

    zehn par jis dam tirā ehsās ġhālib aa gayā

    duur tak bikhrā huā lafzoñ shīrāza lagā

    ham-ḳhayāl o ham-navā bhī tujh ko mil jā.eñge

    raat ke tanhā musāfir koī āvāza lagā

    KHauf se ab yun na apne ghar ka darwaza laga

    tez hain kitni hawaen is ka andaza laga

    KHushk tha mausam magar barsi ghaTa jab yaad ki

    dil ka murjhaya hua ghuncha tar-o-taza laga

    raushni si kar gai qurbat kisi ke jism ki

    ruh mein khulta hua mashriq ka darwaza laga

    ye andheri raat benam-o-nishan kar jaegi

    apne chehre par sunahri dhup ka ghaza laga

    zehn par jis dam tera ehsas ghaalib aa gaya

    dur tak bikhra hua lafzon ka shiraaza laga

    ham-KHayal o ham-nawa bhi tujh ko mil hi jaenge

    raat ke tanha musafir koi aawaza laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now