Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal dil ko hai us gul se aashnai ka

Waliullah Sarhindi Ishtiyaq

KHayal dil ko hai us gul se aashnai ka

Waliullah Sarhindi Ishtiyaq

MORE BYWaliullah Sarhindi Ishtiyaq

    ḳhayāl dil ko hai us gul se āshnā.ī

    nahīñ sabā ko hai da.avā jahāñ-rasā.ī

    kahīñ vo kasrat-e-ushshāq se ghamanD meñ aa

    Darūñ huuñ maiñ ki na da.avā kare ḳhudā.ī

    mujhe to Dho ke thā zāhid par ik nigāh se aaj

    ġhurūr kyā huā vo terī pārsā.ī

    jahāñ meñ dil na lagāne leve phir koī naam

    bayāñ karūñ maiñ agar terī bevafā.ī

    na chhoḌā maar bhī khā kar guzar galī tirī

    raqīb ko mire da.avā hai be-hayā.ī

    nahīñ ḳhayāl meñ laate vo saltanat jam

    ġhurūr hai jinheñ dar tire gadā.ī

    jafā-e-yār se mat 'ishtiyāq' pher ke muñh

    ḳhayāl kiijo kahīñ aur jubba-sā.ī

    KHayal dil ko hai us gul se aashnai ka

    nahin saba ko hai dawa jahan-rasai ka

    kahin wo kasrat-e-ushshaq se ghamanD mein aa

    Darun hun main ki na dawa kare KHudai ka

    mujhe to Dho ke tha zahid par ek nigah se aaj

    ghurur kya hua wo teri parsai ka

    jahan mein dil na lagane ka lewe phir koi nam

    bayan karun main agar teri bewafai ka

    na chhoDa mar bhi kha kar guzar gali ka teri

    raqib ko mere dawa hai be-hayai ka

    nahin KHayal mein late wo saltanat jam ki

    ghurur hai jinhen dar ki tere gadai ka

    jafa-e-yar se mat 'ishtiyaq' pher ke munh

    KHayal kijo kahin aur jubba-sai ka

    Source:

    Noquush (Pg. B-385 E396)

      • Edition: May June 1954
      • Publisher: Nuqoosh Press Lahore
      • Year of Publication: May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now