aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal-e-subh ki ranaiyan kuchh aur kahti hain

Sajida Zaidi

KHayal-e-subh ki ranaiyan kuchh aur kahti hain

Sajida Zaidi

MORE BYSajida Zaidi

    Interesting Fact

    January 1967

    ḳhayāl-e-sub.h ra.anā.iyāñ kuchh aur kahtī haiñ

    añdherī raat tanhā.iyāñ kuchh aur kahtī haiñ

    kabhī jām-e-tarab samt dast-e-shauq baḌhtā hai

    to us kām-o-dahan talḳhiyāñ kuchh aur kahtī haiñ

    mirī nazroñ pahnā.ī meñ haiñ ajzā-e-do-ālam

    gumān-o-vaham parchhā.iyāñ kuchh aur kahtī haiñ

    farāġhat chāhtī hai zindagī do-chār lamhe

    magar rāh-e-vafā saḳhtiyāñ kuchh aur kahtī haiñ

    mirī be-ḳhvāb āñkhoñ meñ Kyayāl-e-sub.h-e-fardā hai

    dil-e-bedār ḳhāmoshiyāñ kuchh aur kahtī haiñ

    KHayal-e-subh ki ranaiyan kuchh aur kahti hain

    andheri raat ki tanhaiyan kuchh aur kahti hain

    kabhi jam-e-tarab ki samt dast-e-shauq baDhta hai

    to us kaam-o-dahan ki talKHiyan kuchh aur kahti hain

    meri nazron ki pahnai mein hain ajza-e-do-alam

    guman-o-waham ki parchhaiyan kuchh aur kahti hain

    faraghat chahti hai zindagi do-chaar lamhe ki

    magar rah-e-wafa ki saKHtiyan kuchh aur kahti hain

    meri be-KHwab aankhon mein Kyayal-e-subh-e-farda hai

    dil-e-bedar ki KHamoshiyan kuchh aur kahti hain

    Source:

    Aatish Zeer-e-paa (Pg. 156)

    • Author: Sajidah Zaidi
      • Edition: 1995
      • Publisher: Sajidah Zaidi, Aligarah
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now