KHayal-e-yar se daman chhuDa ke aai hun
ḳhayāl-e-yār se dāman chhuḌā ke aa.ī huuñ
maiñ apne kāñdhe pe aañsū bahā ke aa.ī huuñ
bahut sā bojh thā dil par so dasht-e-ulfat meñ
tumhāre pyaar kā qarza chukā ke aa.ī huuñ
charāġh-e-shab thā mujhe dekh kar tumhārā vajūd
tumhārī āñkhoñ ke dīpak bujhā ke aa.ī huuñ
purāne peḌ mire saath saath rote rahe
jo naam mil ke likhe the miTā ke aa.ī huuñ
charāġh hai ki mire dil meñ yaad kā sūraj
jise darīche meñ shab ke sajā ke aa.ī huuñ
hazār kaliyāñ gulāboñ kī mustarad kar ke
maiñ apne joḌe meñ patte lagā ke aa.ī huuñ
mujhe talāsh karo gard-e-āshiqī meñ jahāñ
maiñ apne pyaar kā sahrā chhupā ke aa.ī huuñ
udhar na jaanā kabhī laḌkiyoñ se kahtī huuñ
maiñ rāh-e-ishq meñ tan-man gañvā ke aa.ī huuñ
KHayal-e-yar se daman chhuDa ke aai hun
main apne kandhe pe aansu baha ke aai hun
bahut sa bojh tha dil par so dasht-e-ulfat mein
tumhaare pyar ka qarza chuka ke aai hun
charagh-e-shab tha mujhe dekh kar tumhaara wajud
tumhaari aankhon ke dipak bujha ke aai hun
purane peD mere sath sath rote rahe
jo nam mil ke likhe the miTa ke aai hun
charagh hai ki mere dil mein yaad ka suraj
jise dariche mein shab ke saja ke aai hun
hazar kaliyan gulabon ki mustarad kar ke
main apne joDe mein patte laga ke aai hun
mujhe talash karo gard-e-ashiqi mein jahan
main apne pyar ka sahra chhupa ke aai hun
udhar na jaana kabhi laDkiyon se kahti hun
main rah-e-ishq mein tan-man ganwa ke aai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.