Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal-o-fikr ke sab mausamon mein rahti hai

Abida Karamat

KHayal-o-fikr ke sab mausamon mein rahti hai

Abida Karamat

MORE BYAbida Karamat

    ḳhayāl-o-fikr ke sab mausamoñ meñ rahtī hai

    mirī nigāh ke vo ā.inoñ meñ rahtī hai

    vo merī chhoTī guḌiyā vo jaan se pyārī

    vajūd-e-zāt sab dhaḌkanoñ meñ rahtī hai

    usī ke dam se mirī zindagī harārat hai

    mire lahū sabhī ḳhushbuoñ meñ rahtī hai

    mirī nazar meñ vo mausam hai iid mausam

    vo ghar meñ aa ke mire jin rutoñ meñ rahtī hai

    vo naanā naanī āñkhoñ meñ chashm-e-māmūñ meñ

    har ik nigāh meñ sab manzaroñ meñ rahtī hai

    usī ke faiz se ehsās-e-zindagānī bhī

    vo valvaloñ meñ sabhī hausloñ meñ rahtī hai

    so us yaad se raushan hai ḳhāna-e-hastī

    vo mere dil meñ mirī ḳhvāhishoñ meñ rahtī hai

    KHayal-o-fikr ke sab mausamon mein rahti hai

    meri nigah ke wo aainon mein rahti hai

    wo meri chhoTi si guDiya wo jaan se pyari

    wajud-e-zat ki sab dhaDkanon mein rahti hai

    usi ke dam se meri zindagi hararat hai

    mere lahu ki sabhi KHushbuon mein rahti hai

    meri nazar mein wo mausam hai id ka mausam

    wo ghar mein aa ke mere jin ruton mein rahti hai

    wo nana nani ki aankhon mein chashm-e-mamun mein

    har ek nigah mein sab manzaron mein rahti hai

    usi ke faiz se ehsas-e-zindagani bhi

    wo walwalon mein sabhi hauslon mein rahti hai

    so us ki yaad se raushan hai KHana-e-hasti

    wo mere dil mein meri KHwahishon mein rahti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now