Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal-o-KHwab ke dariya ke par asar bhi gae

Ashfaq Husain

KHayal-o-KHwab ke dariya ke par asar bhi gae

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

    ḳhayāl-o-ḳhvāb ke dariyā ke paar asar bhī ga.e

    jidhar hameñ nahīñ jaanā thā ham udhar bhī ga.e

    badan se lipTe rahe be-zamīniyoñ ke azaab

    talāsh-e-rizq ḳhātir jidhar jidhar bhī ga.e

    jo chāhte the sitāroñ se terī maañg bhare

    unheñ talāsh na kar ab vo log mar bhī ga.e

    ab un yādoñ se āñkhoñ ko aur surḳh na kar

    vo hādse to zamāna huā guzar bhī ga.e

    vo saare ḳhvāb-zada log apne ḳhvāb ke saath

    sañvarte rahne ke imkān meñ bikhar bhī ga.e

    nazar meñ rañg the ārā.ish-e-makāñ ke magar

    havā kuchh aisī chalī ghar ke bām-o-dar bhī ga.e

    KHayal-o-KHwab ke dariya ke par asar bhi gae

    jidhar hamein nahin jaana tha hum udhar bhi gae

    badan se lipTe rahe be-zaminiyon ke azab

    talash-e-rizq ki KHatir jidhar jidhar bhi gae

    jo chahte the sitaron se teri mang bhare

    unhen talash na kar ab wo log mar bhi gae

    ab un ki yaadon se aankhon ko aur surKH na kar

    wo hadse to zamana hua guzar bhi gae

    wo sare KHwab-zada log apne KHwab ke sath

    sanwarte rahne ke imkan mein bikhar bhi gae

    nazar mein rang the aaraish-e-makan ke magar

    hawa kuchh aisi chali ghar ke baam-o-dar bhi gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now