Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal-o-KHwab ki duniya mein kho gae aaKHir

Tufail Hoshiarpuri

KHayal-o-KHwab ki duniya mein kho gae aaKHir

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    ḳhayāl-o-ḳhvāb duniyā meñ kho ga.e āḳhir

    tirī talāsh meñ ham thak ke so ga.e āḳhir

    mirī vafāoñ hāsil shikast-e-dil sahī

    fasāne ġham ke mukammal to ho ga.e āḳhir

    subūt maañg na ham se vafā-parastī

    ham apne ban na sake tere ho ga.e āḳhir

    vo aa.e jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb sūrat

    sitāre tār-e-nazar meñ piro ga.e āḳhir

    ba-pās-e-zabt jo palkoñ pe rūnumā na hue

    vo ashk dāman-e-dil meñ samo ga.e āḳhir

    ba-sad-niyāz jo aañsū gire dam-e-sajda

    jabīñ se dāġh-e-nadāmat bhī dho ga.e āḳhir

    mizāj-dāñ jinheñ samjhe the mauj-e-tūfāñ

    vo sāhiloñ pe safīne Dubo ga.e āḳhir

    zabāñ se jin mohabbat ke phuul jhaḌte the

    'tufail' dil meñ vo kāñTe chubho ga.e āḳhir

    KHayal-o-KHwab ki duniya mein kho gae aaKHir

    teri talash mein hum thak ke so gae aaKHir

    meri wafaon ka hasil shikast-e-dil hi sahi

    fasane gham ke mukammal to ho gae aaKHir

    subut mang na hum se wafa-parasti ka

    hum apne ban na sake tere ho gae aaKHir

    wo aae jagti aankhon mein KHwab ki surat

    sitare tar-e-nazar mein piro gae aaKHir

    ba-pas-e-zabt jo palkon pe runuma na hue

    wo ashk daman-e-dil mein samo gae aaKHir

    ba-sad-niyaz jo aansu gire dam-e-sajda

    jabin se dagh-e-nadamat bhi dho gae aaKHir

    mizaj-dan jinhen samjhe the mauj-e-tufan ka

    wo sahilon pe safine Dubo gae aaKHir

    zaban se jin ki mohabbat ke phul jhaDte the

    'tufail' dil mein wo kanTe chubho gae aaKHir

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now