Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal-o-KHwab ki duniya nahin sanjone ka

Waseem Farhat Alig

KHayal-o-KHwab ki duniya nahin sanjone ka

Waseem Farhat Alig

MORE BYWaseem Farhat Alig

    ḳhayāl-o-ḳhvāb duniyā nahīñ sañjone

    udhār maañg ke rusvā na ab ke hone

    koī to aa.egā surḳhī aib batlāne

    lahū ke daaġh bhī chehre se ab na dhone

    mohabbatoñ meñ mohabbat koī aas na rakh

    ye kārobār to paane hai na khone

    bichhaḌte vaqt jo talqīn bhī na kar paayā

    phir us yaad meñ āñchal nahīñ bhigone

    lo dekh lo vahī sāhil pe aa ke Duube haiñ

    jinheñ thā shauq bahut kashtiyāñ Dubone

    vo ham ki nīñdoñ ko āñkhoñ se duur kar Daalā

    tumheñ ḳhayāl rahā oḌhne bichhaune

    KHayal-o-KHwab ki duniya nahin sanjone ka

    udhaar mang ke ruswa na ab ke hone ka

    koi to aaega surKHi ka aib batlane

    lahu ke dagh bhi chehre se ab na dhone ka

    mohabbaton mein mohabbat ki koi aas na rakh

    ye karobar to pane ka hai na khone ka

    bichhaDte waqt jo talqin bhi na kar paya

    phir us ki yaad mein aanchal nahin bhigone ka

    lo dekh lo wahi sahil pe aa ke Dube hain

    jinhen tha shauq bahut kashtiyan Dubone ka

    wo hum ki nindon ko aankhon se dur kar Dala

    tumhein KHayal raha oDhne bichhaune ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now