Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal-o-KHwab mein aae hue se lagte hain

Kashif Husain Ghair

KHayal-o-KHwab mein aae hue se lagte hain

Kashif Husain Ghair

MORE BYKashif Husain Ghair

    ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ aa.e hue se lagte haiñ

    hameñ ye din bhī bitā.e hue se lagte haiñ

    tire huzūr khaḌe haiñ jo sar jhukā.e hue

    zamīñ bojh uThā.e hue se lagte haiñ

    diye hoñ phuul hoñ bādal hoñ parinde hoñ

    ye sab havā ke satā.e hue se lagte haiñ

    hamāre dil tarah shahr ke ye raste bhī

    hazār bhed chhupā.e hue se lagte haiñ

    har ek rāh-navard o shikasta-pā ke liye

    ye peḌ haath baḌhā.e hue se lagte haiñ

    har aan rūnumā hote ye vāqiye ġhā.er

    hamārā dhyān baTā.e hue se lagte haiñ

    KHayal-o-KHwab mein aae hue se lagte hain

    hamein ye din bhi bitae hue se lagte hain

    tere huzur khaDe hain jo sar jhukae hue

    zamin ka bojh uThae hue se lagte hain

    diye hon phul hon baadal hon ya parinde hon

    ye sab hawa ke satae hue se lagte hain

    hamare dil ki tarah shahr ke ye raste bhi

    hazar bhed chhupae hue se lagte hain

    har ek rah-naward o shikasta-pa ke liye

    ye peD hath baDhae hue se lagte hain

    har aan runuma hote ye waqiye ghaer

    hamara dhyan baTae hue se lagte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now