Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal un ka dil se bhulana paDega

Iram Lakhnavi

KHayal un ka dil se bhulana paDega

Iram Lakhnavi

MORE BYIram Lakhnavi

    ḳhayāl un dil se bhulānā paḌegā

    davā jaan kar zahr khānā paḌegā

    taḳhayyul had meñ nahīñ un maskan

    abhī manziloñ duur jaanā paḌegā

    jo ehsās-e-dūrī ne vahshat baḌhā

    garebāñ se dāman milānā paḌegā

    yahīñ se jabīñ-sā.iyāñ siikh haiñ

    ki ik din tire dar pe aanā paḌegā

    ri'āyat kahāñ maqtal-e-'āshiqī meñ

    farishte ko bhī zaḳhm khānā paḌegā

    tasavvur ko ḳhud pās-e-ġhairat hai varna

    jahāñ ham bulā.eñge aanā paḌegā

    hamesha mohabbat ke dā've zabānī

    'iram' tujh ko bhī āzmānā paḌegā

    KHayal un ka dil se bhulana paDega

    dawa jaan kar zahr khana paDega

    taKHayyul ki had mein nahin un ka maskan

    abhi manzilon dur jaana paDega

    jo ehsas-e-duri ne wahshat baDha di

    gareban se daman milana paDega

    yahin se jabin-saiyan sikh li hain

    ki ek din tere dar pe aana paDega

    ri'ayat kahan maqtal-e-'ashiqi mein

    farishte ko bhi zaKHm khana paDega

    tasawwur ko KHud pas-e-ghairat hai warna

    jahan hum bulaenge aana paDega

    hamesha mohabbat ke da'we zabani

    'iram' tujh ko bhi aazmana paDega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now