Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHayal wo bhi mere zehn ke makan mein tha

Ahsan Imam Ahsan

KHayal wo bhi mere zehn ke makan mein tha

Ahsan Imam Ahsan

MORE BYAhsan Imam Ahsan

    ḳhayāl vo bhī mire zehn ke makān meñ thā

    jo aaj tak na makīn-e-gumāñ ke dhyān meñ thā

    vo dekhtā rahā hasrat se āsmāñ taraf

    chhupā huā vo parinda jo sā.ebān meñ thā

    zamīñ pe koī samā.at thī muntazir merī

    sadā shakl muallaq maiñ āsmān meñ thā

    mirā nasīb to ḳhushiyoñ bhiiḌ meñ aksar

    charāġh tarah raushan kisī dukān meñ thā

    kabhī mujhe bhī to karnā paḌegā samjhauta

    bahut dinoñ se ye ḳhadsha mire gumān meñ thā

    tire savāl kaise javāb detā maiñ

    ki jab maiñ khoyā huā fikr uḌaan meñ thā

    vahī to aag lagātā phirā gulistāñ meñ

    jo 'ahsan' ahl-e-chaman meñ na bāġhbān meñ thā

    KHayal wo bhi mere zehn ke makan mein tha

    jo aaj tak na makin-e-guman ke dhyan mein tha

    wo dekhta raha hasrat se aasman ki taraf

    chhupa hua wo parinda jo saeban mein tha

    zamin pe koi samaat thi muntazir meri

    sada ki shakl muallaq main aasman mein tha

    mera nasib to KHushiyon ki bhiD mein aksar

    charagh ki tarah raushan kisi dukan mein tha

    kabhi mujhe bhi to karna paDega samjhauta

    bahut dinon se ye KHadsha mere guman mein tha

    tere sawal ka kaise jawab deta main

    ki jab main khoya hua fikr ki uDan mein tha

    wahi to aag lagata phira gulistan mein

    jo 'ahsan' ahl-e-chaman mein na baghban mein tha

    Source:

    Samandar shanas (Pg. 29)

    • Author: Ahsan Imam Ahsan
      • Edition: 2013
      • Publisher: Rujhan Publications, Allahabad
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now