khel hai dil-lagi tamasha hai
khel hai dil-lagī tamāshā hai
har ghaḌī zindagī tamāshā hai
chāñd āḳhir ko Duub jā.egā
dilkashī sarsarī tamāshā hai
phir kabhī lauT kar na ā.ūñgā
ye mirā āḳhirī tamāshā hai
kahkashāñ āftāb aur taare
raushnī raushnī tamāshā hai
hai 'ajūba agar tirī tāqat
merī bhī bebasī tamāsha hai
khel hai dil-lagi tamasha hai
har ghaDi zindagi tamasha hai
chand aaKHir ko Dub jaega
dilkashi sarsari tamasha hai
phir kabhi lauT kar na aaunga
ye mera aaKHiri tamasha hai
kahkashan aaftab aur tare
raushni raushni tamasha hai
hai 'ajuba agar teri taqat
meri bhi bebasi tamasha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.