Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khel samjha hai safar bhaDwa adam-abaad ka

Mohsin Khan Mohsin

khel samjha hai safar bhaDwa adam-abaad ka

Mohsin Khan Mohsin

MORE BYMohsin Khan Mohsin

    khel samjhā hai safar bhaḌvā adam-ābād

    hausla dekho to guyyāñ is dil-e-nāshād

    kasbī ke ghar se lagā kar bhejte ho paan tum

    vaah kyā kahnā hai mirzā aap is yaad

    aa ke vo tīr-e-nazar zad meñ bach jaa.e muā

    muñh to dhole hausla un ke dil-e-jallād

    thā sabab begam-buā ye ranj buniyād

    rashk hai shīrāz ke tālāb ruknābād

    baat to shīrīñ rakh thī hazāroñ meñ buā

    go balā se phaT gayā sar bhī miyāñ farhād

    baiThne paa.e na the chutḌā uThā.e chal diye

    ḳhaak nikle hausla shauq-e-dil-e-nāshād

    pārbantī ke haiñ ye kāñTe buā bo.e hue

    ḳhat nahīñ aatā nigoḌe kāmtā-parshād

    reḳhtī-goī meñ jo 'mohsin' nigoḌā fard hai

    hai ye joban 'anqā' begam buā ustād

    khel samjha hai safar bhaDwa adam-abaad ka

    hausla dekho to guyyan is dil-e-nashad ka

    kasbi ke ghar se laga kar bhejte ho pan tum

    wah kya kahna hai mirza aap ki is yaad ka

    aa ke wo tir-e-nazar ki zad mein bach jae mua

    munh to dhole hausla un ke dil-e-jallad ka

    tha sabab begam-bua ye ranj ki buniyaad ka

    rashk hai shiraaz ke talab ruknabaad ka

    baat to shirin ki rakh li thi hazaron mein bua

    go bala se phaT gaya sar bhi miyan farhad ka

    baiThne pae na the chutDa uThae chal diye

    KHak nikle hausla shauq-e-dil-e-nashad ka

    parbanti ke hain ye kanTe bua boe hue

    KHat nahin aata nigoDe kaamta-parshad ka

    reKHti-goi mein jo 'mohsin' nigoDa fard hai

    hai ye joban 'anqa' begam si bua ustad ka

    Source:

    Rekhti (Pg. 535)

    • Author: Rangin Saadat Yaar Khan, Mohsin Khan Mohsin, Insha Allah Khan Insha, Meer Yaar Ali Jaan
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd, New Delhi
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now