Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHema Dale hue rahraw hai paDa ek se ek

Shah Akbar Danapuri

KHema Dale hue rahraw hai paDa ek se ek

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    ḳhema Daale hue rahrav hai paḌā ek se ek

    kis takalluf hai duniyā meñ sarā ek se ek

    zulm hai ek se ek aur jafā ek se ek

    jāñ-sitāñ hai mire qātil adā ek se ek

    tum agar pahno to joḌā hai dharā ek se ek

    hai har ik ġhunche gaThrī meñ qabā ek se ek

    hai judā sab se tarīqa sitam-ārā.ī

    nahīñ miltī mire zālim jafā ek se ek

    kahiye taqvā-shikan is ko to use tauba-shikan

    dilrubā hai tirī ai shoḳh adā ek se ek

    apnā aks aa.ine meñ dekh ke vo kahte haiñ

    vaah kyā ḳhuub ye naqsha hai khichā ek se ek

    tajraba ham ne kiyā hai tap-e-furqat ke sivā

    har maraz hai zamāne meñ davā ek se ek

    qābiliyyat bhī to ho dekhne āñkhoñ ko

    zer-e-aflāk hai ḳhurshīd-laqā ek se ek

    vaah kyā san.at-e-ḳhāliq hai ye sub.hān-allāh

    apnī sūrat meñ har insān judā ek se ek

    bul-havas taab sitam jo na laayā na sahī

    sarfaroshī ko haiñ sau ahl-e-vafā ek se ek

    mil ga.e ḳhaak meñ sab un ke pahanñe vaale

    dekho utrī huī rakkhī hai qabā ek se ek

    manzil-e-tafraqa sab kahte haiñ is duniyā ko

    ek ghar meñ haiñ phir sab haiñ judā ek se ek

    haath agar ne uThāyā hai duā karne ko

    mujh se sun maañg ai mard-e-ḳhudā ek se ek

    ai musāfir tirā chāhe jahāñ kar ārām

    ek raat to basnā hai sarā ek se ek

    kū-e-qātil meñ hai ḳhūnī kafanoñ majma.a

    aiñDate phirte haiñ kyā kyā shohadā ek se ek

    hashr ke din bhī vahī fikr hai apnī apnī

    aise majma.e meñ bhī aa kar na milā ek se ek

    lillāh al-hamd kisī tarah maiñ qāsir nahīñ

    laa.ī mazmūn mirī fikr-e-rasā ek se ek

    bāġh-e-ālam meñ kisī ko na shagufta dekhā

    kabhī dil khol ke ġhuncha na hañsā ek se ek

    fasl-e-gul aa.ī to ho jā.egā jangal bhī chaman

    bhare baiThe hue haiñ ābla-pā ek se ek

    bazm-e-duniyā bhī mire dil namūna hai koī

    mahfil-ārā hai yahāñ māh-laqā ek se ek

    mujhe us se to use mujh se pahuñchtī hai madad

    sāhab-e-fan yūñhīñ vābasta rahā ek se ek

    zulf-e-māshūq jo barham rahe to hai mazā

    na mile us koī taar sabā ek se ek

    qābil-e-sair shab-e-māh meñ paTna hai chauk

    apne koThoñ pe haiñ sau māh-laqā ek se ek

    kisī mahjūr kyā ḳhuub hai 'akbar' ye kalām

    dil ke vo harf haiñ vo bhī haiñ judā ek se ek

    KHema Dale hue rahraw hai paDa ek se ek

    kis takalluf ki hai duniya mein sara ek se ek

    zulm hai ek se ek aur jafa ek se ek

    jaan-sitan hai mere qatil ki ada ek se ek

    tum agar pahno to joDa hai dhara ek se ek

    hai har ek ghunche ki gaThri mein qaba ek se ek

    hai juda sab se tariqa sitam-arai ka

    nahin milti mere zalim ki jafa ek se ek

    kahiye taqwa-shikan is ko to use tauba-shikan

    dilruba hai teri ai shoKH ada ek se ek

    apna aks aaine mein dekh ke wo kahte hain

    wah kya KHub ye naqsha hai khicha ek se ek

    tajraba hum ne kiya hai tap-e-furqat ke siwa

    har maraz ki hai zamane mein dawa ek se ek

    qabiliyyat bhi to ho dekhne ki aankhon ko

    zer-e-aflak hai KHurshid-laqa ek se ek

    wah kya sanat-e-KHaliq hai ye subhan-allah

    apni surat mein har insan juda ek se ek

    bul-hawas tab sitam ki jo na laya na sahi

    sarfaroshi ko hain sau ahl-e-wafa ek se ek

    mil gae KHak mein sab un ke pahanne wale

    dekho utri hui rakkhi hai qaba ek se ek

    manzil-e-tafraqa sab kahte hain is duniya ko

    ek hi ghar mein hain phir sab hain juda ek se ek

    hath agar tu ne uThaya hai dua karne ko

    mujh se sun mang tu ai mard-e-KHuda ek se ek

    ai musafir tera ji chahe jahan kar aaram

    ek hi raat to basna hai sara ek se ek

    ku-e-qatil mein hai KHuni kafanon ka majma

    ainDate phirte hain kya kya shohada ek se ek

    hashr ke din bhi wahi fikr hai apni apni

    aise majmae mein bhi aa kar na mila ek se ek

    lillah al-hamd kisi tarah main qasir hi nahin

    lai mazmun meri fikr-e-rasa ek se ek

    bagh-e-alam mein kisi ko na shagufta dekha

    kabhi dil khol ke ghuncha na hansa ek se ek

    fasl-e-gul aai to ho jaega jangal bhi chaman

    bhare baiThe hue hain aabla-pa ek se ek

    bazm-e-duniya bhi mere dil ka namuna hai koi

    mahfil-ara hai yahan mah-laqa ek se ek

    mujhe us se to use mujh se pahunchti hai madad

    sahab-e-fan yunhin wabasta raha ek se ek

    zulf-e-mashuq jo barham hi rahe to hai maza

    na mile us ka koi tar saba ek se ek

    qabil-e-sair shab-e-mah mein paTna ka hai chauk

    apne koThon pe hain sau mah-laqa ek se ek

    kisi mahjur ka kya KHub hai 'akbar' ye kalam

    dil ke wo harf hain wo bhi hain juda ek se ek

    Source:

    Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 146)

    • Author: Shah Akbar Danapuri
      • Publisher: Matba Shaukat Shahjahani, Agra
      • Year of Publication: 1896
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now