aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHema-e-jaan ki tanabon ko ukhDa jaana tha

Najeeb Ahmad

KHema-e-jaan ki tanabon ko ukhDa jaana tha

Najeeb Ahmad

MORE BYNajeeb Ahmad

    ḳhema-e-jāñ tanāboñ ko ukhaḌ jaanā thā

    ham se ik roz tirā ġham bhī bichhaḌ jaanā thā

    kaun se kaaj sañvarte haiñ tire hone se

    kaun kaam na hone se bigaḌ jaanā thā

    bai.at-e-ishq na bai.at-e-shāhī ke liye

    qasr basnā the so maqtal ko ujaḌ jaanā thā

    sañg-rezoñ kamī kab thī sar-e-rāh-e-visāl

    dil-e-kam-zarf dāman sikuḌ jaanā thā

    aur kab tak yūñhī be-gaur-o-kafan rakhte unheñ

    sard ḳhānoñ meñ bhī lāshoñ ko akaḌ jaanā thā

    kyā ḳhabar thī zar-e-ehsās ke luTte 'najīb'

    ik ḳhalā dar-o-dīvār meñ paḌ jaanā thā

    KHema-e-jaan ki tanabon ko ukhaD jaana tha

    hum se ek roz tera gham bhi bichhaD jaana tha

    kaun se kaj sanwarte hain tere hone se

    kaun sa kaam na hone se bigaD jaana tha

    baiat-e-ishq na ki baiat-e-shahi ke liye

    qasr basna the so maqtal ko ujaD jaana tha

    sang-rezon ki kami kab thi sar-e-rah-e-visal

    dil-e-kam-zarf ka daman hi sikuD jaana tha

    aur kab tak yunhi be-gaur-o-kafan rakhte unhen

    sard KHanon mein bhi lashon ko akaD jaana tha

    kya KHabar thi zar-e-ehsas ke luTte hi 'najib'

    ek KHala sa dar-o-diwar mein paD jaana tha

    Source:

    Ibaraten (Pg. 139)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now