Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khet shadab hain gulshan mein bhi ranai hai

Jameel Azimabadi

khet shadab hain gulshan mein bhi ranai hai

Jameel Azimabadi

MORE BYJameel Azimabadi

    khet shādāb haiñ gulshan meñ bhī ra.anā.ī hai

    ek muddat pe duāoñ pazīrā.ī hai

    nik.hat-o-rañg paiġhām sabā laa.ī hai

    bā-vafā kitnī mere desh purvā.ī hai

    chāñdnī bahr-e-taḳhayyul meñ utar aa.ī hai

    hajla-e-nūr merī yaad gahrā.ī hai

    lāla-o-gul qasam azmat-e-sahrā qasam

    abr-e-rahmat har ik shaḳhs tamannā.ī hai

    shukr hai jazba-e-ulfat ke thapeḌe khā kar

    kashtī-e-azm ab tūfāñ se nikal aa.ī hai

    kaT ga.ī raat mirī sa.ī-e-musalsal ke tufail

    raushnī sub.h-e-daraḳhshāñ ḳhabar laa.ī hai

    dushman-e-jāñ bhī tirī baat ke qātil haiñ 'jamīl'

    tere har sher meñ aḳhlāq hai sachchā.ī hai

    khet shadab hain gulshan mein bhi ranai hai

    ek muddat pe duaon ki pazirai hai

    nikhat-o-rang ka paigham saba lai hai

    ba-wafa kitni mere desh ki purwai hai

    chandni bahr-e-taKHayyul mein utar aai hai

    hajla-e-nur meri yaad ki gahrai hai

    lala-o-gul ki qasam azmat-e-sahra ki qasam

    abr-e-rahmat ka har ek shaKHs tamannai hai

    shukr hai jazba-e-ulfat ke thapeDe kha kar

    kashti-e-azm ab tufan se nikal aai hai

    kaT gai raat meri sai-e-musalsal ke tufail

    raushni subh-e-daraKHshan ki KHabar lai hai

    dushman-e-jaan bhi teri baat ke qatil hain 'jamil'

    tere har sher mein aKHlaq hai sachchai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now