khiDki pe chand chand bhi shab-gir aur main
khiḌkī pe chāñd chāñd bhī shab-gīr aur maiñ
kāġhaz pe ek ḳhvāb kī tā'bīr aur maiñ
ye pal judā.ī kā hai so mumkin hai ro paḌeñ
ik dūsre ko dekh ke zanjīr aur maiñ
sochā hai is qadar tujhe maiñ ne firāq meñ
ham-shakl ho ga.e tirī tasvīr aur maiñ
hosh-o-havās gum haiñ ki takte haiñ bām-o-dar
'jaun-eliyā' ko sun ke ‘taqī-mīr' aur maiñ
ik ḳhvāb sāmne hai jise dekhte haiñ ham
ye muḳhtasar sī raat ye tāḳhīr aur maiñ
guzre dinoñ kā 'urs manāyā kareñge ab
terī guzishta saal kī tasvīr aur maiñ
khiDki pe chand chand bhi shab-gir aur main
kaghaz pe ek KHwab ki ta'bir aur main
ye pal judai ka hai so mumkin hai ro paDen
ek dusre ko dekh ke zanjir aur main
socha hai is qadar tujhe main ne firaq mein
ham-shakl ho gae teri taswir aur main
hosh-o-hawas gum hain ki takte hain baam-o-dar
'jaun-eliya' ko sun ke ‘taqi-mir' aur main
ek KHwab samne hai jise dekhte hain hum
ye muKHtasar si raat ye taKHir aur main
guzre dinon ka 'urs manaya karenge ab
teri guzishta sal ki taswir aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.