Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khiDkiyan kholin ki dekhen raunaqen us par ki

Ain Irfan

khiDkiyan kholin ki dekhen raunaqen us par ki

Ain Irfan

MORE BYAin Irfan

    khiḌkiyāñ kholīñ ki dekheñ raunaqeñ us paar

    raushnī aane lagī ghar meñ magar bāzār

    ik tasalsul hai jo kānoñ se judā hotā nahīñ

    gūñjtī rahtī hoñ jaise siskiyāñ bīmār

    aañkh meñ chubhne lage haiñ tīrgī ke ḳhāl-o-ḳhad

    aap ne jangal meñ aa ke raushnī bekār

    rāt-bhar palkoñ pe merī ik dhuāñ raushan rahā

    rāt-bhar taktī rahī mujh ko nazar dīvār

    titliyoñ meñ rang bhī bharne nahīñ detī hameñ

    zehn meñ baiThī huī sūrat kisī bezār

    khiDkiyan kholin ki dekhen raunaqen us par ki

    raushni aane lagi ghar mein magar bazar ki

    ek tasalsul hai jo kanon se juda hota nahin

    gunjti rahti hon jaise siskiyan bimar ki

    aankh mein chubhne lage hain tirgi ke KHal-o-KHad

    aap ne jangal mein aa ke raushni bekar ki

    raat-bhar palkon pe meri ek dhuan raushan raha

    raat-bhar takti rahi mujh ko nazar diwar ki

    titliyon mein rang bhi bharne nahin deti hamein

    zehn mein baiThi hui surat kisi bezar ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now