Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khiDkiyan kholin to mujhko aaj andaza hua

Zafar Zaidi

khiDkiyan kholin to mujhko aaj andaza hua

Zafar Zaidi

MORE BYZafar Zaidi

    khiḌkiyāñ kholīñ to mujh ko aaj andāza huā

    merā saaya thā vo dīvār se lipTā huā

    aaj shab bhī palaT aa.e binā dastak diye

    so rahā thā ghar meñ koī raat jaagā huā

    is galī ke moḌ pe baiThā huuñ kitnī der se

    jis tarah koī musāfir huuñ thakā-hārā huā

    jis taraf bhī ab uḌā le jaa.eñ mujh ko āñdhiyāñ

    ek patta huuñ havā ke dosh pe rakkhā huā

    aur bhī kuchh duur aa pahuñche ham apne shahr se

    lag rahā thā rāsta jaanā huā būjhā huā

    so gayā hai mere siine se lagā kar apnā sar

    ik khilaune ke liye bachcha koī rotā huā

    be-ta.alluq paḌā thā mausamoñ ke sāmne

    sabz patta koī apnī shāḳh se TuuTā huā

    dhuñd meñ lipTī huī thiiñ apnī tahrīreñ sabhī

    paḌh nahīñ paa.e 'zafar' ham haath likkhā huā

    khiDkiyan kholin to mujh ko aaj andaza hua

    mera hi saya tha wo diwar se lipTa hua

    aaj ki shab bhi palaT aae bina dastak diye

    so raha tha ghar mein koi raat ka jaga hua

    is gali ke moD pe baiTha hun kitni der se

    jis tarah koi musafir hun thaka-haara hua

    jis taraf bhi ab uDa le jaen mujh ko aandhiyan

    ek patta hun hawa ke dosh pe rakkha hua

    aur bhi kuchh dur aa pahunche hum apne shahr se

    lag raha tha rasta jaana hua bujha hua

    so gaya hai mere sine se laga kar apna sar

    ek khilaune ke liye bachcha koi rota hua

    be-talluq sa paDa tha mausamon ke samne

    sabz patta koi apni shaKH se TuTa hua

    dhund mein lipTi hui thin apni tahriren sabhi

    paDh nahin pae 'zafar' hum hath ka likkha hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now