Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khila hua tera chehra gulab ka sa tha

Faiz Tabassum Tonsvi

khila hua tera chehra gulab ka sa tha

Faiz Tabassum Tonsvi

MORE BYFaiz Tabassum Tonsvi

    khilā huā tirā chehra gulāb thā

    aur us pe nuur kisī māhtāb thā

    bahār koī taujīh aur kyā kiije

    tamām rang tumhāre shabāb thā

    tamām shahr-e-tamannā meñ ghuum kar dekhā

    vahī samāñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb thā

    tire qarīb to ḳhud se ba.iid ho ke rahe

    tumhārā lutf tumhāre itaab thā

    vo ek pal jo tumhāre baġhair biit gayā

    vo ek pal bhī to yaum-e-hisāb thā

    khila hua tera chehra gulab ka sa tha

    aur us pe nur kisi mahtab ka sa tha

    bahaar ki koi taujih aur kya kije

    tamam rang tumhaare shabab ka sa tha

    tamam shahr-e-tamanna mein ghum kar dekha

    wahi saman dil-e-KHana-KHarab ka sa tha

    tere qarib to KHud se baid ho ke rahe

    tumhaara lutf tumhaare itab ka sa tha

    wo ek pal jo tumhaare baghair bit gaya

    wo ek pal bhi to yaum-e-hisab ka sa tha

    Source:

    Lauh-e-Ayyam (Pg. 34)

    • Author: Faiz Tabassum Tonsvi
      • Publisher: Faiz Academy, Karachi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now