KHizan ka rup na rang-e-bahaar apna hai
ḳhizāñ kā ruup na rang-e-bahār apnā hai
ye kam nahīñ ki dil-e-dāġh-dār apnā hai
parakh lo jins-e-hunar ko mirī nazar vaalo
abhī ravāñ qalam-e-sehr-kār apnā hai
udhar ḳhirad kā taqāza idhar payām-e-junūñ
maiñ kyā batā.ūñ kise intizār apnā hai
nashāt-o-‘aish ke lamhe to 'ārzī haiñ faqat
rafīq-e-'umr ġham-e-pā.edār apnā hai
miTā hī degī kisī din ye gardish-e-daurāñ
vujūd-e-sūrat-e-naqsh-o-nigār apnā hai
batā diyā hai havāoñ ne zard pattoñ ko
ḳhizāñ meñ kaun dam-e-intishār apnā hai
milā hī kyā hameñ āḳhir rifāqat-e-gul se
lipaT rahā hai jo dāman se ḳhaar apnā hai
kisī ke dāman-e-rangīñ pe mail kyā aa.e
uḌā jo raah se haT kar ġhubār apnā hai
dilāse de jo na ummīd hī shab-e-vā'da
to kaun ai ḳhalish-e-intizār apnā hai
ba-qadr-e-zarf hī miltī hai dast-e-sāqī se
agarche bazm meñ har bāda-ḳhvār apnā hai
panāh de jo kaḌī dhuup kī aziyyat se
bas ik vahī shajar-e-sāya-dār apnā hai
faqīr-e-mai-kada ham bhī to haiñ magar saaqī
na jāneñ kaun sī saf meñ shumār apnā hai
ḳhushā vo sham’-e-lahad jis kī raushnī phailī
jo bujh gayā vo charāġh-e-mazār apnā hai
kisī ko kyā kaheñ 'bahzād' is zamāne meñ
hamīñ ko ḳhud nahīñ jab e'tibār apnā hai
KHizan ka rup na rang-e-bahaar apna hai
ye kam nahin ki dil-e-dagh-dar apna hai
parakh lo jins-e-hunar ko meri nazar walo
abhi rawan qalam-e-sehr-kar apna hai
udhar KHirad ka taqaza idhar payam-e-junun
main kya bataun kise intizar apna hai
nashat-o-‘aish ke lamhe to 'arzi hain faqat
rafiq-e-'umr gham-e-paedar apna hai
miTa hi degi kisi din ye gardish-e-dauran
wujud-e-surat-e-naqsh-o-nigar apna hai
bata diya hai hawaon ne zard patton ko
KHizan mein kaun dam-e-intishaar apna hai
mila hi kya hamein aaKHir rifaqat-e-gul se
lipaT raha hai jo daman se KHar apna hai
kisi ke daman-e-rangin pe mail kya aae
uDa jo rah se haT kar ghubar apna hai
dilase de jo na ummid hi shab-e-wa'da
to kaun ai KHalish-e-intizar apna hai
ba-qadr-e-zarf hi milti hai dast-e-saqi se
agarche bazm mein har baada-KHwar apna hai
panah de jo kaDi dhup ki aziyyat se
bas ek wahi shajar-e-saya-dar apna hai
faqir-e-mai-kada hum bhi to hain magar saqi
na jaanen kaun si saf mein shumar apna hai
KHusha wo sham’-e-lahad jis ki raushni phaili
jo bujh gaya wo charagh-e-mazar apna hai
kisi ko kya kahen 'bahzad' is zamane mein
hamin ko KHud nahin jab e'tibar apna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.