Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHizan ke daur mein bhi hum bahaar ban ke chhae hain

Sahir Lakhnavi

KHizan ke daur mein bhi hum bahaar ban ke chhae hain

Sahir Lakhnavi

MORE BYSahir Lakhnavi

    ḳhizāñ ke daur meñ bhī ham bahār ban ke chhā.e haiñ

    ġhamoñ ke saa.e meñ bhī rah ke ham to muskurā.e haiñ

    charāġh amn ke bujhe bujhe hue the har taraf

    Dare hue diloñ ko ham ne hausle dilā.e haiñ

    hamārā kyā bigāḌeñgī ye nafratoñ āñdhiyāñ

    qadam rah-e-hayāt meñ kuchh is tarah baḌhā.e haiñ

    ġhamoñ se khelte hue ye yaad rakhnā chāhiye

    jahāñ meñ kho ke kuchh na kuchh baḌe maqām paa.e haiñ

    huī hai ham meñ tum meñ jab se dūriyāñ ai jān-e-man

    na tum muskurā.e ho na ham muskurā.e haiñ

    tirī bazm meñ nahīñ tire liye tirī qasam

    jahāñ bhī ham ga.e salāmatī ke jaam uThā.e haiñ

    bulandiyoñ ko chhūne ke vāste jahān meñ

    na.e-na.e taraqqiyoñ ke rāste banā.e haiñ

    KHizan ke daur mein bhi hum bahaar ban ke chhae hain

    ghamon ke sae mein bhi rah ke hum to muskurae hain

    charagh amn ke bujhe bujhe hue the har taraf

    Dare hue dilon ko hum ne hausle dilae hain

    hamara kya bigaDengi ye nafraton ki aandhiyan

    qadam rah-e-hayat mein kuchh is tarah baDhae hain

    ghamon se khelte hue ye yaad rakhna chahiye

    jahan mein kho ke kuchh na kuchh baDe maqam pae hain

    hui hai hum mein tum mein jab se duriyan ai jaan-e-man

    na tum hi muskurae ho na hum hi muskurae hain

    teri hi bazm mein nahin tere liye teri qasam

    jahan bhi hum gae salamati ke jam uThae hain

    bulandiyon ko chhune hi ke waste jahan mein

    nae-nae taraqqiyon ke raste banae hain

    Source:

    Taaruf (Pg. 89)

    • Author: Sahir Lakhnavi
      • Publisher: Sahir Lakhnavi
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now