KHizan ki rut mein shajar se kalam karte hue

KHizan ki rut mein shajar se kalam karte hue
Mohammad Hasnain Parwez
MORE BYMohammad Hasnain Parwez
ḳhizāñ kī rut meñ shajar se kalām karte hue
taḌapne lagtā huuñ aksar ye kaam karte hue
gale lagānā bhī jis ko maiñ kam samajhtā thā
guzar gayā huuñ ab us ko salām karte hue
ye rāsta tirī khiḌkī se jā ke miltā hai
so Dar rahā huuñ yahāñ par qiyām karte hue
koī 'ajīb sī hairat lapeT letī hai
tumhārī yaad ke saa.e meñ shaam karte hue
maiñ apnī shaam suhūlat se ḳharch kartā huuñ
zarā sā vaqt faqīroñ ke naam karte hue
maiñ ho rahā huuñ ravāna imaam kī jānib
balā kī tishna-labī meñ ḳhirām karte hue
KHizan ki rut mein shajar se kalam karte hue
taDapne lagta hun aksar ye kaam karte hue
gale lagana bhi jis ko main kam samajhta tha
guzar gaya hun ab us ko salam karte hue
ye rasta teri khiDki se ja ke milta hai
so Dar raha hun yahan par qiyam karte hue
koi 'ajib si hairat lapeT leti hai
tumhaari yaad ke sae mein sham karte hue
main apni sham suhulat se KHarch karta hun
zara sa waqt faqiron ke nam karte hue
main ho raha hun rawana imam ki jaanib
bala ki tishna-labi mein KHiram karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.