Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHizan mili abhi tak kahin bahaar mile

Anjum Barabankvi

KHizan mili abhi tak kahin bahaar mile

Anjum Barabankvi

MORE BYAnjum Barabankvi

    ḳhizāñ milī abhī tak kahīñ bahār mile

    safar meñ pyaar mausam to bā-vaqār mile

    maiñ aise dar gadā huuñ jahāñ pe motī kyā

    hazār baar mujhe sañg āb-dār mile

    ḳhushī nuur to ik-bārgī milā hai tumheñ

    hameñ to ġham ke añdhere bhī qist-vār mile

    tirī chamak taqāzā nahīñ zarūrat hai

    tire ḳhamīr meñ thoḌā inkisār mile

    ye aarzū hai ki ab raushnī ke qisse haiñ

    mire charāġh ko sūraj e.atibār mile

    maiñ ḳhush-nasīb bahut huuñ ki mujh ko duniyā meñ

    qadam qadam pe mohabbat ke shāhkār mile

    maiñ āsmānoñ zamīnoñ had milā dūñgā

    jo chār-roz sach-much meñ iḳhtiyār mile

    KHizan mili abhi tak kahin bahaar mile

    safar mein pyar ka mausam to ba-waqar mile

    main aise dar ka gada hun jahan pe moti kya

    hazar bar mujhe sang aab-dar mile

    KHushi ka nur to ik-bargi mila hai tumhein

    hamein to gham ke andhere bhi qist-war mile

    teri chamak ka taqaza nahin zarurat hai

    tere KHamir mein thoDa sa inkisar mile

    ye aarzu hai ki ab raushni ke qisse hain

    mere charagh ko suraj ka eatibar mile

    main KHush-nasib bahut hun ki mujh ko duniya mein

    qadam qadam pe mohabbat ke shahkar mile

    main aasmanon zaminon ki had mila dunga

    jo chaar-roz ka sach-much mein iKHtiyar mile

    Source:

    Khamoshiyon Ka Nagma (Pg. 31)

    • Author: Anjum Barabankvi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now