kho ke apne aapko aaya hun main
kho ke apne aap ko aayā huuñ maiñ
zindagī terī ḳhabar laayā huuñ maiñ
mujh ko rotā hai zamāna mere baa'd
miT gayā huuñ tab nazar aayā huuñ maiñ
kis qadar nāzuk haiñ ehsāsāt-e-'ishq
har sitam par us ke sharmāyā huuñ maiñ
aarzū tū ne kahāñ dhokā diyā
ab bahut aage nikal aayā huuñ maiñ
ai tamannāo na chheḌo us kā zikr
kitnī mushkil se bhulā paayā huuñ maiñ
'zeb' kis darja hasīñ hai ye thakan
kitne tūfānoñ se Takrāyā huuñ maiñ
kho ke apne aap ko aaya hun main
zindagi teri KHabar laya hun main
mujh ko rota hai zamana mere ba'd
miT gaya hun tab nazar aaya hun main
kis qadar nazuk hain ehsasat-e-'ishq
har sitam par us ke sharmaya hun main
aarzu tu ne kahan dhoka diya
ab bahut aage nikal aaya hun main
ai tamannao na chheDo us ka zikr
kitni mushkil se bhula paya hun main
'zeb' kis darja hasin hai ye thakan
kitne tufanon se Takraya hun main
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 92)
- Author :Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.