Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khol rahe hain mund rahe hain yaadon ke darwaze log

Aziz Bano Darab Wafa

khol rahe hain mund rahe hain yaadon ke darwaze log

Aziz Bano Darab Wafa

MORE BYAziz Bano Darab Wafa

    khol rahe haiñ muuñd rahe haiñ yādoñ ke darvāze log

    ik lamhe meñ kho baiThe haiñ sadiyoñ ke andāze log

    niiñd uchaT jaane se sab par jhuñjhlāhaT taarī hai

    āñkheñ mīche bāñdh rahe haiñ ḳhvāboñ ke shīrāze log

    shahroñ shahroñ phirte haiñ dīvānoñ bahrūp bhare

    ḳhud se chhup kar ḳhud ko DhūñD rahe haiñ baaze baaze log

    chaltī phirtī lāshoñ ke hoñToñ hañsī par hairat kiyā

    murdoñ par rakkhā karte haiñ phuul hamesha taaze log

    khol rahe hain mund rahe hain yaadon ke darwaze log

    ek lamhe mein kho baiThe hain sadiyon ke andaze log

    nind uchaT jaane se sab par jhunjhlahaT si tari hai

    aankhen miche bandh rahe hain KHwabon ke shiraaze log

    shahron shahron phirte hain diwanon ka bahrup bhare

    KHud se chhup kar KHud ko DhunD rahe hain baze baze log

    chalti phirti lashon ke honTon ki hansi par hairat kiya

    murdon par rakkha karte hain phul hamesha taze log

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    khol rahe hain mund rahe hain yaadon ke darwaze log Azra Naqvi

    Source:

    Goonj (Pg. 121)

    • Author: Aziz Bano Darab Wafa
      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Book House, Aligarah
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now