Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khoTa sikka ek din chal bhi sakta hai

Shamim Qasmi

khoTa sikka ek din chal bhi sakta hai

Shamim Qasmi

MORE BYShamim Qasmi

    khoTā sikka ik din chal bhī saktā hai

    raavī andāz badal bhī saktā hai

    do pal hai saath magar tanhā.ī meñ

    andesha rusvā.ī pal bhī saktā hai

    māchis ik tiilī jaisī āñkhoñ se

    hadd-e-nazar manzar jal bhī saktā hai

    duniyā us majbūrī meñ shāmil hai

    zer-e-zamīñ vo rah kar phal bhī saktā hai

    nekī dariyā se gahrā rishta hai

    sho.aloñ se vo bach ke nikal bhī saktā hai

    us chāhat meñ lāzim hai shiddat bhī

    vo basharī paikar meñ Dhal bhī saktā hai

    khoTa sikka ek din chal bhi sakta hai

    rawi ka andaz badal bhi sakta hai

    do pal ka hai sath magar tanhai mein

    andesha ruswai ka pal bhi sakta hai

    machis ki ek tili jaisi aankhon se

    hadd-e-nazar ka manzar jal bhi sakta hai

    duniya us ki majburi mein shamil hai

    zer-e-zamin wo rah kar phal bhi sakta hai

    neki ka dariya se gahra rishta hai

    shoalon se wo bach ke nikal bhi sakta hai

    us ki chahat mein lazim hai shiddat bhi

    wo bashari paikar mein Dhal bhi sakta hai

    Source:

    Bihar Mein Jadeed Ghazal (Pg. 81)

      • Publisher: Ataullah Khan Alwi
      • Year of Publication: 1955
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now