Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud apna eatibar ganwata raha hun main

Bashir Saifi

KHud apna eatibar ganwata raha hun main

Bashir Saifi

MORE BYBashir Saifi

    ḳhud apnā e.atibār gañvātā rahā huuñ maiñ

    zarre ko āftāb batātā rahā huuñ maiñ

    andhī havā ko duuñ koī ilzām kis liye

    apne diye ko aap bujhātā rahā huuñ maiñ

    ik umr ke riyāz hāsil na pūchhiye

    reg-e-ravāñ pe naqsh banātā rahā huuñ maiñ

    har chand maslahat taqāzā kuchh aur thā

    ā.īna har kisī ko dikhātā rahā huuñ maiñ

    bachchoñ ke hañste-khelte chehroñ oT meñ

    apne dukhoñ Tiis chhupātā rahā huuñ maiñ

    ye aur baat ḳhud mire paañv na uTh sake

    auroñ ko rāsta to dikhātā rahā huuñ maiñ

    'saifī' fishār-e-ġham tamāzat ke bāvajūd

    hairat hai apnī baat nibhātā rahūñ maiñ

    KHud apna eatibar ganwata raha hun main

    zarre ko aaftab batata raha hun main

    andhi hawa ko dun koi ilzam kis liye

    apne diye ko aap bujhata raha hun main

    ek umr ke riyaz ka hasil na puchhiye

    reg-e-rawan pe naqsh banata raha hun main

    har chand maslahat ka taqaza kuchh aur tha

    aaina har kisi ko dikhata raha hun main

    bachchon ke hanste-khelte chehron ki oT mein

    apne dukhon ki Tis chhupata raha hun main

    ye aur baat KHud mere panw na uTh sake

    auron ko rasta to dikhata raha hun main

    'saifi' fishaar-e-gham ki tamazat ke bawajud

    hairat hai apni baat nibhata rahun main

    Source:

    Urdu Adab (Pg. 38)

    • Author: Iqbal Hussain
      • Edition: an, Feb. Mar 1996
      • Publisher: Iqbal Hussain Publishers
      • Year of Publication: an, Feb. Mar 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now