KHud apne aks ko apni nazar mein kya rakhna

KHud apne aks ko apni nazar mein kya rakhna
Mohammad Aslam Khan Aslam
MORE BYMohammad Aslam Khan Aslam
ḳhud apne aks ko apnī nazar meñ kyā rakhnā
ki ham ne chhoḌ diyā ghar meñ aa.ina rakhnā
kisī ke peḌ kā saaya na aa sake ghar meñ
gharoñ ke biich meñ itnā to fāsla rakhnā
tamām umr hī chāhe uḌaan meñ guzre
parā.ī shāḳh pe hargiz na ghoñsla rakhnā
mirī nazar bhī añdheroñ se uub saktī hai
koī charāġh to yaaro jalā huā rakhnā
lo tum bhī shauq se 'aslam' se ehtiyāt rakho
hameñ bhī aa gayā apnoñ se fāsla rakhnā
KHud apne aks ko apni nazar mein kya rakhna
ki hum ne chhoD diya ghar mein aaina rakhna
kisi ke peD ka saya na aa sake ghar mein
gharon ke bich mein itna to fasla rakhna
tamam umr hi chahe uDan mein guzre
parai shaKH pe hargiz na ghonsla rakhna
meri nazar bhi andheron se ub sakti hai
koi charagh to yaro jala hua rakhna
lo tum bhi shauq se 'aslam' se ehtiyat rakho
hamein bhi aa gaya apnon se fasla rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.