Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud apne waste kya kya suKHan banate hain

Salim Saleem

KHud apne waste kya kya suKHan banate hain

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    ḳhud apne vāste kyā kyā suḳhan banāte haiñ

    kisī zulf ko jab pur-shikan banāte haiñ

    ġhazāl-e-shām-o-sahar yūñhī ram kiye jaa.eñ

    ham apne siine ko dasht-e-ḳhutan banāte haiñ

    usī ḳhaak ke ham bhī bane hue haiñ miyāñ

    ye chaak hai chalo us badan banāte haiñ

    ye log bhāge hue haiñ tire visāl se kyā

    jo tere hijr ko apnā vatan banāte haiñ

    hamīñ pe paḌtī haiñ un ā.inoñ bauchhāreñ

    to ham bhī un ke liye bāñkpan banāte haiñ

    tamām 'umr āshuftagī-e-jāñ ke 'evaz

    kisī ke lams ko apnā kafan banāte haiñ

    KHud apne waste kya kya suKHan banate hain

    kisi ki zulf ko jab pur-shikan banate hain

    ghazal-e-sham-o-sahar yunhi ram kiye jaen

    hum apne sine ko dasht-e-KHutan banate hain

    usi ki KHak ke hum bhi bane hue hain miyan

    ye chaak hai chalo us ka badan banate hain

    ye log bhage hue hain tere visal se kya

    jo tere hijr ko apna watan banate hain

    hamin pe paDti hain un aainon ki bauchhaaren

    to hum bhi un ke liye bankpan banate hain

    tamam 'umr ki aashuftagi-e-jaan ke 'ewaz

    kisi ke lams ko apna kafan banate hain

    Source:

    Wahima Vajood Ka (Pg. 41)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: 2nd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022

    Source:

    Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 43)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now