Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud apni parastish karte hain kuchh dair-o-haram se kaam nahin

Habibur Rahman Siddiqui

KHud apni parastish karte hain kuchh dair-o-haram se kaam nahin

Habibur Rahman Siddiqui

MORE BYHabibur Rahman Siddiqui

    ḳhud apnī parastish karte haiñ kuchh dair-o-haram se kaam nahīñ

    vo tarz-e-niyāz-e-ḳhās hai ye jo kufr nahīñ islām nahīñ

    hoñ pīr-e-muġhāñ shaiḳh-e-haram sab bāñdh rahe haiñ apnī havā

    kahne ko bahut kuchh kahte haiñ jo baat hai us naam nahīñ

    ham toḌ deñ qaid-e-hastī bhī ye qaid-e-qafas to chiiz hai kyā

    ik jumbish-e-qalb-e-muztar meñ ham nahīñ baam nahīñ

    hai josh-e-atā-e-sāqī bhī kab vajh-e-sukūn-e-tishna-labī

    jaam ba-qadr-e-bāda nahīñ baada ba-qadr-e-jām nahīñ

    āzād rahe nākām jiye pāband bhalā kyā shaad raheñ

    ho sahn-e-chaman kunj-e-qafas ham ko to kahīñ ārām nahīñ

    himmat nahīñ varna abhī ik jast meñ manzil lete

    kaTtī hai kahīñ yuuñ raah bhalā do gaam chale do gaam nahīñ

    kyā shāhid-e-rānā chhāñTā hai allāh-re merī dīda-varī

    ye husn sar-e-bāzār nahīñ ye zauq-e-tamāshā aam nahīñ

    KHud apni parastish karte hain kuchh dair-o-haram se kaam nahin

    wo tarz-e-niyaz-e-KHas hai ye jo kufr nahin islam nahin

    hon pir-e-mughan ya shaiKH-e-haram sab bandh rahe hain apni hawa

    kahne ko bahut kuchh kahte hain jo baat hai us ka nam nahin

    hum toD den qaid-e-hasti bhi ye qaid-e-qafas to chiz hai kya

    ek jumbish-e-qalb-e-muztar mein ya hum hi nahin ya baam nahin

    hai josh-e-ata-e-saqi bhi kab wajh-e-sukun-e-tishna-labi

    ya jam ba-qadr-e-baada nahin ya baada ba-qadr-e-jam nahin

    aazad rahe nakaam jiye paband bhala kya shad rahen

    ho sahn-e-chaman ya kunj-e-qafas hum ko to kahin aaram nahin

    himmat hi nahin ki warna abhi ek jast mein manzil ja lete

    kaTti hai kahin yun rah bhala do gam chale do gam nahin

    kya shahid-e-rana chhanTa hai allah-re meri dida-wari

    ye husn sar-e-bazar nahin ye zauq-e-tamasha aam nahin

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 35)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now