Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud ko aafat-e-zamana se bachae rakhiye

Ejaz Ajmeri

KHud ko aafat-e-zamana se bachae rakhiye

Ejaz Ajmeri

MORE BYEjaz Ajmeri

    ḳhud ko āfāt-e-zamāna se bachā.e rakhiye

    vaqt kaisā bhī ho kirdār banā.e rakhiye

    mil jā.egā kisī vaqt surāġh-e-manzil

    rāh-e-ulfat meñ nigāhoñ ko bachā.e rakhiye

    kāmyābī se to ho jā.egā qissa tamām

    ishq-e-nākām ko nākām banā.e rakhiye

    dekhne ā.eñge vo un ḳhushī ḳhātir

    dil ke dāġhoñ ko qarīne se sajā.e rakhiye

    pheñk diije mirā dil TuuT gayā phuuT gayā

    ho gayā ḳhuun use is ke bajā.e rakhiye

    bazm us hai parā.e pe nazar mat kiije

    raunaq-e-bazm bahar-hāl jamā.e rakhiye

    tohfa-e-ishq hai 'ejāz' vafā ho ki jafā

    jo bhī mil jaa.e use dil se lagā.e rakhiye

    KHud ko aafat-e-zamana se bachae rakhiye

    waqt kaisa bhi ho kirdar banae rakhiye

    mil hi jaega kisi waqt suragh-e-manzil

    rah-e-ulfat mein nigahon ko bachae rakhiye

    kaamyabi se to ho jaega qissa hi tamam

    ishq-e-nakaam ko nakaam banae rakhiye

    dekhne aaenge wo un ki KHushi ki KHatir

    dil ke daghon ko qarine se sajae rakhiye

    phenk dije mera dil TuT gaya phuT gaya

    ho gaya KHun use is ke bajae rakhiye

    bazm us ki hai parae pe nazar mat kije

    raunaq-e-bazm bahar-haal jamae rakhiye

    tohfa-e-ishq hai 'ejaz' wafa ho ki jafa

    jo bhi mil jae use dil se lagae rakhiye

    Source:

    Ejaz-e-Sukhan (Pg. 82)

    • Author: Ejaz Ajmeri
      • Publisher: Rajasthan Urdu Academy, Jaipur
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now